ghani shaKHon mein chhup kar jab koi chiDiya chahakti hai
ghani shaKHon mein chhup kar jab koi chiDiya chahakti hai
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
ghanī shāḳhoñ meñ chhup kar jab koī chiḌiyā chahaktī hai
to mere dil meñ kyuuñ hasrat kī chiñgārī bhaḌaktī hai
hasīñ chaupā.e jab charne ko nikleñ sabza-zāroñ meñ
to maiñ kyā DhūñDhtā rahtā huuñ sanjīda nazāroñ meñ
sahar ke vaqt jab panhāriyāñ panghaT pe aatī haiñ
gulābī gāgaroñ ke taal par taalī bajātī haiñ
to maiñ ujḌe hue mahloñ meñ kis kī dhun meñ jaatā huuñ
shikasta bām-o-dar ko kis kī ḳhātir chuum aatā huuñ
ma.an jab TūTtī rātoñ meñ koyal kuuk uThtī hai
to mere dil meñ kyuuñ mauhūm sī ik huuk uThtī hai
ḳhunuk rātoñ meñ jab taare falak par TimTimāte haiñ
mujhe kis paikar-e-zohrā-jabīñ ke ḳhvāb aate haiñ
ye āñkheñ kaun jhapkātā hai rah-rah kar sitāroñ meñ
ye kis kā 'aks paḌtā hai shafaq ke lāla-zāroñ meñ
gulābī sīpiyoñ meñ vo guhar ban kar chamaktā hai
gulistāñ meñ gulāb-o-nastaran ban kar mahaktā hai
kabhī fānūs-e-kafūrī meñ chhup kar jagmagātā hai
kabhī vīrānoñ khetoñ par ghaTā.eñ ban ke chhātā hai
kabhī pur-ḳhauf jañgoñ meñ kabhī pur-amn shahroñ meñ
kabhī uḌte hue āñchal kī be-tartīb lahroñ meñ
kabhī mohtāj do-shīzāoñ kī bosīda jholī meñ
kabhī bachchoñ kī TuuTī totlī ma.asūm bolī meñ
kabhī maġhmūm āñkhoñ meñ kabhī raushan charāġhoñ meñ
kabhī jām-e-sifālīñ meñ kabhī labrez ayāġhoñ meñ
nasha ban kar mire ḳhvāboñ pe koī chhā.e jaatā hai
jidhar dekho udhar mub.ham ishāroñ se bulātā hai
ghani shaKHon mein chhup kar jab koi chiDiya chahakti hai
to mere dil mein kyun hasrat ki chingari bhaDakti hai
hasin chaupae jab charne ko niklen sabza-zaron mein
to main kya DhunDhta rahta hun sanjida nazaron mein
sahar ke waqt jab panhaariyan panghaT pe aati hain
gulabi gagaron ke tal par tali bajati hain
to main ujDe hue mahlon mein kis ki dhun mein jata hun
shikasta baam-o-dar ko kis ki KHatir chum aata hun
man jab TuTti raaton mein koyal kuk uThti hai
to mere dil mein kyun mauhum si ek huk uThti hai
KHunuk raaton mein jab tare falak par TimTimate hain
mujhe kis paikar-e-zohra-jabin ke KHwab aate haiñ
ye aankhen kaun jhapkata hai rah-rah kar sitaron mein
ye kis ka 'aks paDta hai shafaq ke lala-zaron mein
gulabi sipiyon mein wo guhar ban kar chamakta hai
gulistan mein gulab-o-nastaran ban kar mahakta hai
kabhi fanus-e-kafuri mein chhup kar jagmagata hai
kabhi viranon kheton par ghaTaen ban ke chhata hai
kabhi pur-KHauf jangon mein kabhi pur-amn shahron mein
kabhi uDte hue aanchal ki be-tartib lahron mein
kabhi mohtaj do-shizaon ki bosida jholi mein
kabhi bachchon ki TuTi totli masum boli mein
kabhi maghmum aankhon mein kabhi raushan charaghon mein
kabhi jam-e-sifalin mein kabhi labrez ayaghon mein
nasha ban kar mere KHwabon pe koi chhae jata hai
jidhar dekho udhar mubham ishaaron se bulata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.