kuchh nahin mangta shahon se ye shaida tera
kuchh nahīñ māñgtā shāhoñ se ye shaidā terā
is kī daulat hai faqat naqsh-e-kaf-e-pā terā
tah-ba-tah tīrgiyāñ zehn pe jab TūTtī haiñ
nuur ho jaatā hai kuchh aur huvaidā terā
kuchh nahīñ sūjhtā jab pyaas kī shiddat se mujhe
chhalak uThtā hai mirī ruuh meñ miinā terā
puure qad se meñ khaḌā huuñ to ye terā hai karam
mujh ko jhukne nahīñ detā hai sahārā terā
dast-gīrī mirī tanhā.ī kī tū ne hī to kī
maiñ to mar jaatā agar saath na hotā terā
log kahte haiñ ki saaya tire paikar kā na thā
maiñ to kahtā huuñ jahāñ-bhar pe hai saaya terā
tū bashar bhī hai magar fakHr-e-bashar bhī tū hai
mujh ko to yaad hai bas itnā sarāpā terā
maiñ tujhe 'ālam-e-ashiyā meñ bhī pā letā huuñ
log kahte haiñ ki hai 'ālam-e-bālā terā
merī āñkhoñ se jo DhūñDheñ tujhe har sū dekheñ
sirf ḳhalvat meñ jo karte haiñ nazārā terā
vo añdheroñ se bhī darrāna guzar jaate haiñ
jin ke māthe meñ chamaktā hai sitārā terā
naddiyāñ ban ke pahāḌoñ meñ to sab ghūmte haiñ
regzāroñ meñ bhī bahtā rahā dariyā terā
sharq aur ġharb meñ bikhre hue gulzāroñ ko
nik.hateñ bāñTtā hai aaj bhī sahrā terā
ab bhī zulmāt faroshoñ ko gila hai tujh se
raat baaqī thī ki sūraj nikal aayā terā
tujh se pahle kā jo maazī thā hazāroñ kā sahī
ab jo tā-hashr kā fardā hai vo tanhā terā
ek baar aur bhī bat.hā se filistīn meñ aa
rāsta dekhtī hai masjid-e-aqsā terā
kuchh nahin mangta shahon se ye shaida tera
is ki daulat hai faqat naqsh-e-kaf-e-pa tera
tah-ba-tah tirgiyan zehn pe jab TuTti hain
nur ho jata hai kuchh aur huwaida tera
kuchh nahin sujhta jab pyas ki shiddat se mujhe
chhalak uThta hai meri ruh mein mina tera
pure qad se mein khaDa hun to ye tera hai karam
mujh ko jhukne nahin deta hai sahaara tera
dast-giri meri tanhai ki tu ne hi to ki
main to mar jata agar sath na hota tera
log kahte hain ki saya tere paikar ka na tha
main to kahta hun jahan-bhar pe hai saya tera
tu bashar bhi hai magar fakHr-e-bashar bhi tu hai
mujh ko to yaad hai bas itna sarapa tera
main tujhe 'alam-e-ashiya mein bhi pa leta hun
log kahte hain ki hai 'alam-e-baala tera
meri aankhon se jo DhunDhen tujhe har su dekhen
sirf KHalwat mein jo karte hain nazara tera
wo andheron se bhi darrana guzar jate hain
jin ke mathe mein chamakta hai sitara tera
naddiyan ban ke pahaDon mein to sab ghumte hain
regzaron mein bhi bahta raha dariya tera
sharq aur gharb mein bikhre hue gulzaron ko
nikhaten banTta hai aaj bhi sahra tera
ab bhi zulmat faroshon ko gila hai tujh se
raat baqi thi ki suraj nikal aaya tera
tujh se pahle ka jo mazi tha hazaron ka sahi
ab jo ta-hashr ka farda hai wo tanha tera
ek bar aur bhi batha se filistin mein aa
rasta dekhti hai masjid-e-aqsa tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.