shan-e-KHuda bhi aap mahbub-e-KHuda bhi aap hain
shan-e-KHuda bhi aap mahbub-e-KHuda bhi aap hain
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
shān-e-ḳhudā bhī aap mahbūb-e-ḳhudā bhī aap haiñ
tajsīm-e-haq bhī aap haiñ aur haq-numā bhī aap haiñ
roz-e-abad tak aap haiñ sālār-e-jaish-e-ambiyā
roz-e-azal se murshid-e-ahl-e-safā bhī aap haiñ
qudrat kī har taḳhlīq kā haiñ aap vāhid mudda’ā
husn-e-zamīñ bhī aap haiñ nūr-e-samā bhī aap haiñ
apne rafīqoñ ke liye patthar bhī Dho.e aap ne
aur dushmanoñ ke haq meñ masrūf-e-du'ā bhī aap haiñ
islām ke halqe meñ jo auhām kā bīmār ho
us kī davā bhī aap haiñ us kī shifā bhī aap haiñ
har dā.ira āvāz kā lafz-e-mohammad ban gayā
mere liye to qibla-e-saut-o-sadā bhī aap haiñ
maiñ falsafoñ kī dhuup meñ jaltā rahā huuñ 'umr bhar
un 'ilm ke sahrāoñ meñ mauj-e-sabā bhī aap haiñ
zulmāt-e-īn-āñ meñ huuñ maiñ kab se sargarm-e-safar
aur is safar meñ merī manzil kā pata bhī aap haiñ
merā 'nadīm' īmāñ hai ye īmāñ kī ik mīzāñ hai ye
be-intihā bhī aap lekin intihā bhī aap haiñ
shan-e-KHuda bhi aap mahbub-e-KHuda bhi aap hain
tajsim-e-haq bhi aap hain aur haq-numa bhi aap hain
roz-e-abad tak aap hain salar-e-jaish-e-ambiya
roz-e-azal se murshid-e-ahl-e-safa bhi aap hain
qudrat ki har taKHliq ka hain aap wahid mudda’a
husn-e-zamin bhi aap hain nur-e-sama bhi aap hain
apne rafiqon ke liye patthar bhi Dhoe aap ne
aur dushmanon ke haq mein masruf-e-du'a bhi aap hain
islam ke halqe mein jo auham ka bimar ho
us ki dawa bhi aap hain us ki shifa bhi aap hain
har daira aawaz ka lafz-e-mohammad ban gaya
mere liye to qibla-e-saut-o-sada bhi aap hain
main falsafon ki dhup mein jalta raha hun 'umr bhar
un 'ilm ke sahraon mein mauj-e-saba bhi aap hain
zulmat-e-in-an mein hun main kab se sargarm-e-safar
aur is safar mein meri manzil ka pata bhi aap hain
mera 'nadim' iman hai ye iman ki ek mizan hai ye
be-intiha bhi aap lekin intiha bhi aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.