ai dil-e-pur-surur-e-man naz na ban niyaz ban
ai dil-e-pur-surur-e-man naz na ban niyaz ban
Shah Mohsin Danapuri
MORE BYShah Mohsin Danapuri
ai dil-e-pur-surūr-e-man naaz na ban niyāz ban
sāqī-e-mast-e-nāz kī āñkhoñ meñ sarfarāz ban
dair-o-haram se darguzar 'āshiq-e-kibr-o-nāz ban
ka.aba-e-dil meñ DhūñDh use parda-kushā-e-rāz ban
joshish-e-girya tā-bake nāla-ma-kun misāl-e-ne
ya.anī apne dard kā aap hī chāra-sāz ban
ā.īna-e-'alī ko dekh husn-e-mohammadī ko dekh
kar ke nisār jān-e-vatan 'āshiq-e-sarfarāz ban
vahshat-e-dil hai josh par bār-e-garāñ hai dosh par
kar na hirās ai bashar kHālid-e-yakka taaz ban
mamba'-e-zāt hai jalva-gar sifāt hai
tālib-e-haq biyā-biyā ḳhāk-e-rah-e-hijāz ban
'mohsin'-e-dil-girafta tū kar na ḳhudī kī guftugū
banda-e-be-niyāz ho akbar-e-pāk-bāz ban
ai dil-e-pur-surur-e-man naz na ban niyaz ban
saqi-e-mast-e-naz ki aankhon mein sarfaraaz ban
dair-o-haram se darguzar 'ashiq-e-kibr-o-naz ban
kaba-e-dil mein DhunDh use parda-kusha-e-raaz ban
joshish-e-girya ta-bake nala-ma-kun misal-e-ne
yani apne dard ka aap hi chaara-saz ban
aaina-e-'ali ko dekh husn-e-mohammadi ko dekh
kar ke nisar jaan-e-watan 'ashiq-e-sarfaraaz ban
wahshat-e-dil hai josh par bar-e-garan hai dosh par
kar na hiras ai bashar kHalid-e-yakka taz ban
mamba'-e-zat hai jalwa-gar sifat hai
talib-e-haq biya-biya KHak-e-rah-e-hijaz ban
'mohsin'-e-dil-girafta tu kar na KHudi ki guftugu
banda-e-be-niyaz ho akbar-e-pak-baz ban
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.