ai malikan-e-taKHt wo daulat kahan gai
ai mālikān-e-taḳht vo daulat kahāñ ga.ī
vo taaj kyā huā vo hukūmat kahāñ ga.ī
kahtī hai ro ke qabr-e-sikandar pe be-kasī
vo dabdaba vo shaan vo shaukat kahāñ ga.ī
qārūñ se pochhiye vo ḳhazāna kidhar gayā
hātim se pochhiye vo saḳhāvat kahāñ ga.ī
daarā kā ḳhuun kar ke sikandar ne kyā liyā
lālach kiyā thā jis kā vo daulat kahāñ ga.ī
shaddād rū-siyah tu jahannam meñ kyuuñ gayā
kaisī ḳhudā.ī kī tirī jannat kahāñ ga.ī
hārūn rashīd jis kī ḳhilāfat kī dhuum thī
ab pochhiye vo us kī ḳhilāfat kahāñ ga.ī
āl-e-nabī pe zulm kiyā kyuuñ yazīd ne
zālim kī panj-roza vo naubat kahāñ ga.ī
lailā se pochhiye ki vo ishve kidhar ga.e
majnūñ se pochhiye vo mohabbat kahāñ ga.ī
lākhoñ hasīn kunj-e-lahad meñ samā ga.e
vo naaz kyā huā vo nazākat kahāñ ga.ī
mil paḌ ga.ī lahad meñ 'azīzoñ ko kis tarah
vo pyaar kyā huā vo mohabbat kahāñ ga.ī
paidā hue ye kaun-o-makāñ jin ke vāste
'tāhir' batā vo nuur kī sūrat kahāñ ga.ī
ai malikan-e-taKHt wo daulat kahan gai
wo taj kya hua wo hukumat kahan gai
kahti hai ro ke qabr-e-sikandar pe be-kasi
wo dabdaba wo shan wo shaukat kahan gai
qarun se pochhiye wo KHazana kidhar gaya
hatim se pochhiye wo saKHawat kahan gai
dara ka KHun kar ke sikandar ne kya liya
lalach kiya tha jis ka wo daulat kahan gai
shaddad ru-siyah tu jahannam mein kyun gaya
kaisi KHudai ki teri jannat kahan gai
haarun rashid jis ki KHilafat ki dhum thi
ab pochhiye wo us ki KHilafat kahan gai
aal-e-nabi pe zulm kiya kyun yazid ne
zalim ki panj-roza wo naubat kahan gai
laila se pochhiye ki wo ishwe kidhar gae
majnun se pochhiye wo mohabbat kahan gai
lakhon hasin kunj-e-lahad mein sama gae
wo naz kya hua wo nazakat kahan gai
mil paD gai lahad mein 'azizon ko kis tarah
wo pyar kya hua wo mohabbat kahan gai
paida hue ye kaun-o-makan jin ke waste
'tahir' bata wo nur ki surat kahan gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.