ai mah-jabin kahan tera jalwa ayan nahin
ai mah-jabīñ kahāñ terā jalva ayaañ nahīñ
ye sab tere nishāñ haiñ pe terā nishāñ nahīñ
ka.aba meñ karbalā meñ kalīsā meñ dair meñ
us be-nishāñ ko ham ne bhī DhūñDhā kahāñ nahīñ nahīñ
iqrār roz karte ho ġhairoñ se vasl kā
sīkhe ho ek mere liye jān-e-jāñ nahīñ
kartā hai merā va.ada-farāmosh mujh ko yaad
be-vaj.h aa jaatī haiñ ye hichkiyāñ nahīñ
minnat se pūchhā kyā na karoge jafā.eñ kam
saffāk kis DhiTā.ī se bolā ki haañ nahīñ
shikva kujā shikāyat-e-ġham kiije kyā majāl
us kā ye hukm hai ki hilāo zabāñ nahīñ
sachche tumhīñ sahī maiñ burā huuñ burā magar
mujh sā malegā ba.ad mere mehrbāñ nahīñ
vaa.iz bhalā hasīnoñ kī ulfat hai kyuuñ harām
shāyad ḳhudā kī shaan ye husn-e-butāñ nahīñ
'aughat' jahāñ meñ ab dil-o-dīñ pūchhtā hai kaun
āshiq kā in butoñ meñ koī qadar-dāñ nahīñ
ai mah-jabin kahan tera jalwa ayan nahin
ye sab tere nishan hain pe tera nishan nahin
kaba mein karbala mein kalisa mein dair mein
us be-nishan ko hum ne bhi DhunDha kahan nahin nahin
iqrar roz karte ho ghairon se wasl ka
sikhe ho ek mere liye jaan-e-jaan nahin
karta hai mera wada-faramosh mujh ko yaad
be-wajh aa jati hain ye hichkiyan nahin
minnat se puchha kya na karoge jafaen kam
saffak kis DhiTai se bola ki han nahin
shikwa kuja shikayat-e-gham kije kya majal
us ka ye hukm hai ki hilao zaban nahin
sachche tumhin sahi main bura hun bura magar
mujh sa malega baad mere mehrban nahin
waiz bhala hasinon ki ulfat hai kyun haram
shayad KHuda ki shan ye husn-e-butan nahin
'aughat' jahan mein ab dil-o-din puchhta hai kaun
aashiq ka in buton mein koi qadar-dan nahin
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 23)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.