ai sanam tujh pe hain qurban gul-o-aina-o-shama
ai sanam tujh pe hain qurban gul-o-aina-o-shama
Ghulam Imam Shaheed
MORE BYGhulam Imam Shaheed
ai sanam tujh pe haiñ qurbāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
haiñ tire ruḳh se pashemāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
dekh ḳhandāñ bhī haiñ hairāñ bhī haiñ giryāñ bhī haiñ
dekh kar sūrat-e-jānāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
bulbul-o-tūtī-o-parvāna nahīñ chāhte haiñ
tere hote hue ai jaañ gul-o-ā.īnā-o-shama'
'ishq meñ tere hue jaama se bāhar aise
ke phirā karte haiñ 'uryāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
rañg aur nūr-e-safā laa.e haiñ tere ghar se
haiñ tire banda-e-ehsāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
saaf kahtā huuñ kaho kis ke qalam se niklā
is tarah dast-o-garebāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
merī kilk-o-ġhazal-o-saf.ha-e-dīvāñ ko 'shahīd'
kahte haiñ saare suḳhan-dāñ gul-o-ā.īnā-o-shama'
ai sanam tujh pe hain qurban gul-o-aina-o-shama'
hain tere ruKH se pasheman gul-o-aina-o-shama'
dekh KHandan bhi hain hairan bhi hain giryan bhi hain
dekh kar surat-e-jaanan gul-o-aina-o-shama'
bulbul-o-tuti-o-parwana nahin chahte hain
tere hote hue ai jaan gul-o-aina-o-shama'
'ishq mein tere hue jama se bahar aise
ke phira karte haiñ 'uryan gul-o-aina-o-shama'
rang aur nur-e-safa lae hain tere ghar se
hain tere banda-e-ehsan gul-o-aina-o-shama'
saf kahta hun kaho kis ke qalam se nikla
is tarah dast-o-gareban gul-o-aina-o-shama'
meri kilk-o-ghazal-o-safha-e-diwan ko 'shahid'
kahte hain sare suKHan-dan gul-o-aina-o-shama'
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.