ai shola-e-jawala jab se lau tujhse lagae baiThe hain
ai sho'la-e-javāla jab se lau tujh se lagā.e baiThe haiñ
ik aag lagī hai siine meñ aur sab se chhupā.e baiThe haiñ
hai ishq kī duniyā meñ bhī aTal qānūn amal aur radd-e-amal
dil luuT ke jaane vaale bhī dil apnā gañvā.e baiThe haiñ
taskīn kī sūrat us meñ hai kaunain kī daulat us meñ hai
tasvīr kisī kī ham apne siine se lagā.e baiThe haiñ
sab khel usī ḳhud-sar ke haiñ sab ruup usī dilbar ke haiñ
ham tohmat hastī se sar par tūfān uThā.e baiThe haiñ
ham kho.e huoñ ko chāra-garo jis haal meñ bhī haiñ rahne do
jiine do isī kī marzī par dil jis se lagā.e baiThe haiñ
ik zid hai faqat mahbūbāna ik haT hai faqat ma.ashūqāna
āñkhoñ se unheñ chhupne dījiye dil meñ to samā.ae baiThe haiñ
ik shoḳh-adā.ī hai varna manzūr hai kab parda karnā
vo apne hī jalvoñ meñ apne jalvoñ ko chhupā.e baiThe haiñ
jab diin gayā īmān gayā to phir jān-o-dil kā zikr hī kyā
ab haar bane yā jiit rahe baazī to lagā.e baiThe haiñ
kyā koī uThā saktā hai hameñ ab un ke dar se ai 'kāmil'
ham un ke bulā.e aa.e haiñ ham un ke biThā.e baiThe haiñ
ai sho'la-e-jawala jab se lau tujh se lagae baiThe hain
ek aag lagi hai sine mein aur sab se chhupae baiThe hain
hai ishq ki duniya mein bhi aTal qanun amal aur radd-e-amal
dil luT ke jaane wale bhi dil apna ganwae baiThe hain
taskin ki surat us mein hai kaunain ki daulat us mein hai
taswir kisi ki hum apne sine se lagae baiThe hain
sab khel usi KHud-sar ke hain sab rup usi dilbar ke hain
hum tohmat hasti se sar par tufan uThae baiThe hain
hum khoe huon ko chaara-garo jis haal mein bhi hain rahne do
jine do isi ki marzi par dil jis se lagae baiThe hain
ek zid hai faqat mahbubana ek haT hai faqat mashuqana
aankhon se unhen chhupne dijiye dil mein to samaae baiThe hain
ek shoKH-adai hai warna manzur hai kab parda karna
wo apne hi jalwon mein apne jalwon ko chhupae baiThe hain
jab din gaya iman gaya to phir jaan-o-dil ka zikr hi kya
ab haar bane ya jit rahe bazi to lagae baiThe hain
kya koi uTha sakta hai hamein ab un ke dar se ai 'kaamil'
hum un ke bulae aae hain hum un ke biThae baiThe hain
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 195)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.