ai wa’da-shikan KHwab dikhana hi nahin tha
ai vā’da-shikan ḳhvāb dikhānā hī nahīñ thā
kyuuñ pyaar kiyā thā jo nibhānā hī nahīñ thā
is tarah mere haath se dāman na chuḌāo
dil toḌ ke jaanā thā to aanā hī nahīñ thā
allāh na milne ke bahāne the hazāroñ
milne ke liye koī bahāna hī nahīñ thā
dekho merī sar phoḌ ke marne kī adā bhī
varna mujhe dīvāna banānā hī nahīñ thā
rone ke liye sirf mohabbat hī nahīñ thī
ġham aur bhī the dil kā fasāna hī nahīñ thā
na ham sahī kahte na banī dil kī kahānī
yā gosh-bar-āvāz zamāna hī nahīñ thā
'qaisar' koī aayā thā merī baḳhiya-garī ko
dekhā to garebāñ kā Thikāna hī nahīñ thā
ai wa’da-shikan KHwab dikhana hi nahin tha
kyun pyar kiya tha jo nibhana hi nahin tha
is tarah mere hath se daman na chuDao
dil toD ke jaana tha to aana hi nahin tha
allah na milne ke bahane the hazaron
milne ke liye koi bahana hi nahin tha
dekho meri sar phoD ke marne ki ada bhi
warna mujhe diwana banana hi nahin tha
rone ke liye sirf mohabbat hi nahin thi
gham aur bhi the dil ka fasana hi nahin tha
na hum sahi kahte na bani dil ki kahani
ya gosh-bar-awaz zamana hi nahin tha
'qaisar' koi aaya tha meri baKHiya-gari ko
dekha to gareban ka Thikana hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.