gun mein tu tujh mein numu tha mujhe malum na tha
gun mein tu tujh mein numu tha mujhe malum na tha
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
gun meñ tū tujh meñ numū thā mujhe ma'alūm na thā
har taraf baaġh meñ tū thā mujhe ma'alūm na thā
huval-avval huval-āḳhir hai nafs se sābit
dil merā kHāna-e-hu thā mujhe ma'alūm na thā
maiñ bhī pī letā jo hotā koī taqdīr meñ jaam
dast-e-sāqī meñ subū thā mujhe ma'alūm na thā
kar gayā saikḌoñ ko shakl dikhā kar be-tāb
kaun ye ā.īna-rū thā mujhe ma'alūm na thā
merī sūrat ko banā kar mujhe dekhā tū ne
mere ā.īna meñ tū thā mujhe ma'alūm na thā
zāhid aa jaane de ḳhair ab to isī meñ pī le
ye tirā zarf-e-vuzū thā mujhe ma'alūm na thā
saikḌoñ zab.h kiye saikḌoñ ko jaañ baḳhshī
kaun ye 'arbada jo thā mujhe ma'alūm na thā
kaun huuñ kyā huuñ maiñ kuchh merī haqīqat ko na pūchh
jalva-e-vādī-e-hu thā mujhe ma'alūm na thā
jis kī rañgat pe pale saikḌoñ ke dil 'akbar'
vo hinā thī ki lahū thā mujhe ma'alūm na thā
gun mein tu tujh mein numu tha mujhe ma'alum na tha
har taraf bagh mein tu tha mujhe ma'alum na tha
huwal-awwal huwal-aKHir hai nafs se sabit
dil mera kHana-e-hu tha mujhe ma'alum na tha
main bhi pi leta jo hota koi taqdir mein jam
dast-e-saqi mein subu tha mujhe ma'alum na tha
kar gaya saikDon ko shakl dikha kar be-tab
kaun ye aaina-ru tha mujhe ma'alum na tha
meri surat ko bana kar mujhe dekha tu ne
mere aaina mein tu tha mujhe ma'alum na tha
zahid aa jaane de KHair ab to isi mein pi le
ye tera zarf-e-wuzu tha mujhe ma'alum na tha
saikDon zabh kiye saikDon ko jaan baKHshi
kaun ye 'arbada jo tha mujhe ma'alum na tha
kaun hun kya hun main kuchh meri haqiqat ko na puchh
jalwa-e-wadi-e-hu tha mujhe ma'alum na tha
jis ki rangat pe pale saikDon ke dil 'akbar'
wo hina thi ki lahu tha mujhe ma'alum na tha
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.