ab dil mein samae hai ki diwana banenge
ab dil meñ samā.e hai ki dīvāna baneñge
mohabbatoñ kī tarah apne bhī afsāna baneñge
zāhid se kaho ḳhuld meñ hūroñ se kareñ 'aish
mastoñ ke liye 'arsh pe kāshāna baneñge
ham 'ishq ke kāfir haiñ jo pūjeñge butoñ ko
kā'be ke makānoñ meñ bhī mai-ḳhāna baneñge
ai sham'-e-ruḳh-e-yār na zulfoñ ko dhuāñ de
jalne ke liye aayā huuñ parvāna baneñge
mastoñ se kaho aage piyeñ kHuub sharābeñ
jannat ke makānoñ meñ bhī mai-ḳhāna baneñge
'akbar' haiñ adab vaale unheñ mahfil meñ na le jaao
jo dekheñge un ko vahī dīvāna baneñge
ab dil mein samae hai ki diwana banenge
mohabbaton ki tarah apne bhi afsana banenge
zahid se kaho KHuld mein huron se karen 'aish
maston ke liye 'arsh pe kashana banenge
hum 'ishq ke kafir hain jo pujenge buton ko
ka'be ke makanon mein bhi mai-KHana banenge
ai sham'-e-ruKH-e-yar na zulfon ko dhuan de
jalne ke liye aaya hun parwana banenge
maston se kaho aage piyen kHub sharaben
jannat ke makanon mein bhi mai-KHana banenge
'akbar' hain adab wale unhen mahfil mein na le jao
jo dekhenge un ko wahi diwana banenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.