hai bahaar-e-bagh-e-duniya chand roz
hai bahār-e-bāġh-e-duniyā chand roz
dekh lo us kā tamāsha chand roz
ai musāfir kuuch kā sāmān kar
is sarā meñ hai baserā chand roz
dafn kar ke qabr meñ bolī qazā
ab yahāñ tum sote rahnā chand roz
hai zamīñ ik mauj dariyā koī din
āsmāñ hai bulbulā sā chand roz
hai numā.ish is jahāñ kī is tarah
jaise nau-chañdī kā melā chand roz
ġhāfilo yād-e-ilāhī chāhiye
hai bakheḌā zindagī kā chand roz
kyuuñ satāte ho kisī be-jurm ko
zālimoñ hai ye zamāna chand roz
ke rahā kuchh roz yahāñ jam koī din
kuchh dinoñ shaddād-o-kisrā chand roz
pūchhā luqmāñ se jiyā tū kitne din
dast-e-hasrat mil ke bolā chand roz
phir kahāñ 'akbar' kahāñ tum dosto
zindagī kā hai bakheḌā chand roz
hai bahaar-e-bagh-e-duniya chand roz
dekh lo us ka tamasha chand roz
ai musafir kuch ka saman kar
is sara mein hai basera chand roz
dafn kar ke qabr mein boli qaza
ab yahan tum sote rahna chand roz
hai zamin ek mauj dariya koi din
aasman hai bulbula sa chand roz
hai numaish is jahan ki is tarah
jaise nau-chandi ka mela chand roz
ghafilo yaad-e-ilahi chahiye
hai bakheDa zindagi ka chand roz
kyun satate ho kisi be-jurm ko
zalimon hai ye zamana chand roz
ke raha kuchh roz yahan jam koi din
kuchh dinon shaddad-o-kisra chand roz
puchha luqman se jiya tu kitne din
dast-e-hasrat mil ke bola chand roz
phir kahan 'akbar' kahan tum dosto
zindagi ka hai bakheDa chand roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.