fana ka jam ai saqi main pi-pi lun tu bhar-bhar de
fanā kā jaam ai saaqī maiñ pī-pī luuñ tū bhar-bhar de
baqā kī mai se āñkheñ misl-e-nargis-e-mast kar-kar de
nirālā hai tū ai maulā nirālī terī shāneñ haiñ
kisī ko ḳhaak kī Dherī kisī ko sañg-e-marmar de
burrāq-e-shāh ne me.arāj meñ ye kī duā haq se
'atā kar vo qadam āvāz chalne meñ jo farfar de
ilāhī rauza-e-kHairul-vara par jald jā pahuñchūñ
ba-rañg-e-gardish-e-gardūñ ye gardish mujh ko sarsar de
kahā jibra.īl se haq ne dam-e-mīlād-e-paiġhambar
mire mahbūb kī aamad kā tū paiġhām ghar-ghar de
sadā ye aa rahī hai dam-ba-dam ho ke bayābāñ se
ajal qabroñ meñ lāsheñ marne vāloñ kī tū dhar-dhar de
'jalālī' hai 'ajab is qadar qayyūm kī qudrat
kisī ko tāj-e-sultānī kisī ko bhiik dar-dar de
fana ka jam ai saqi main pi-pi lun tu bhar-bhar de
baqa ki mai se aankhen misl-e-nargis-e-mast kar-kar de
nirala hai tu ai maula nirali teri shanen hain
kisi ko KHak ki Dheri kisi ko sang-e-marmar de
burraq-e-shah ne mearaj mein ye ki dua haq se
'ata kar wo qadam aawaz chalne mein jo farfar de
ilahi rauza-e-kHairul-wara par jald ja pahunchun
ba-rang-e-gardish-e-gardun ye gardish mujh ko sarsar de
kaha jibrail se haq ne dam-e-milad-e-paighambar
mere mahbub ki aamad ka tu paigham ghar-ghar de
sada ye aa rahi hai dam-ba-dam ho ke bayaban se
ajal qabron mein lashen marne walon ki tu dhar-dhar de
'jalali' hai 'ajab is qadar qayyum ki qudrat
kisi ko taj-e-sultani kisi ko bhik dar-dar de
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.