Font by Mehr Nastaliq Web

bhai band koi sangh na lage

Ali Hussain Ashrafi

bhai band koi sangh na lage

Ali Hussain Ashrafi

MORE BYAli Hussain Ashrafi

    Interesting Fact

    نغمہ قوالی رجوع بحضرت مخدوم اشرف جہاں گیر قدس سرہٗ ہوکر کہا گیا۔

    bhaa.ī band koī sañgh na laage

    prem panth pag diinī re

    balihārī maiñ ashraf piyā ke

    jin bahiyāñ gah lenī re

    more miyā more baabā

    na ko.ū sañgh na sāthī re

    maiñ to cherī ashraf piyā

    ve more janm sañghātī re

    ashraf ashraf dhuum machāvan

    ashraf gun gāvan re

    ashraf par maiñ tan-man vārūñ

    un daas kahāvan re

    piir nizām rañgīle piyā

    ashraf rañg manā.e re

    joī aave soī chūñdar rañgāve

    be-rañg koī na jaa.e re

    ashraf ke darbār pukāreñ

    aao bhikārī aao re

    ganj shakar ganj khulā hai

    joī māñgo soī paao re

    ḳhvāja qutbuddīn ḳhvāja mu'īnuddīn

    aaj bha.e haiñ barātī re

    sab sakhīn mil mañgal gāveñ

    aaj piyā rañg raatī re

    ashraf ban ke baiTh ashrafī

    aaj bayāh rachā hai re

    chisth nagar meñ dhuum machī hai

    ashraf duulā banā hai re

    nizām piyā ke ashraf pyāre

    qutb farīd ke rāj-dulāre

    aaj phañsī mañjdhār meñ nayā

    paar karo more kehvan-hāre

    des-des meñ DhūñDh bhirī re

    ab laagī huuñ charan tumhāre

    kaahū mohe aas nahīñ hai

    bairī hoñ ga.e miit hamāre

    daras paay baurā.e 'ashrafī'

    ashraf piyā par tan-man vaare

    bhai band koi sangh na lage

    prem panth pag dini re

    balihaari main ashraf piya ke

    jin bahiyan gah leni re

    na more miya na more baba

    na kou sangh na sathi re

    main to cheri ashraf piya ki

    we more janm sanghati re

    ashraf ashraf dhum machawan

    ashraf ka gun gawan re

    ashraf par main tan-man warun

    un ki das kahawan re

    pir nizam rangile piya ka

    ashraf rang manae re

    joi aawe soi chundar rangawe

    be-rang koi na jae re

    ashraf ke darbar pukaren

    aao bhikari aao re

    ganj shakar ka ganj khula hai

    joi mango soi pao re

    KHwaja qutbuddin KHwaja mu'inuddin

    aaj bhae hain baraati re

    sab sakhin mil mangal gawen

    aaj piya rang raati re

    ashraf ban ke baiTh ashrafi

    aaj bayah racha hai re

    chisth nagar mein dhum machi hai

    ashraf dula bana hai re

    nizam piya ke ashraf pyare

    qutb farid ke raj-dulare

    aaj phansi manjdhaar mein naya

    par karo more kehwan-haare

    des-des mein DhunDh bhiri re

    ab lagi hun charan tumhaare

    kahu ki mohe aas nahin hai

    bairi hon gae mit hamare

    daras pay baurae 'ashrafi'

    ashraf piya par tan-man ware

    Source :
    • Book : Tahaif-e-Ashrafi (Pg. 124)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now