be-hijab aa ai pari-ru mere kashane mein
be-hijāb aa ai parī-rū mere kāshāne meñ
juz tere dard ke koī nahīñ ġham-ḳhāne meñ
'aks-e-ruḳhsār terā dekh ke paimāne meñ
ho gayā hashr bapā raat ko mai-ḳhāne meñ
kufr-o-īmāñ kā kisī ko bhī na hosh rahā
kitnī lazzat hai tere husn ke afsāne meñ
likh diyā kis ne ḳharābāt ke darvāze par
be-vuzū koī na aa.e kabhī mai-ḳhāne meñ
ik tavāf-e-ruḳh-e-sham' hī kiyā thā sab ne
phir sahar tak na rahī jaañ kisī parvāne meñ
bai'at-e-pīr-e-muġhāñ kar ke 'alīmullāh' safī
maiñ ne be-parda use dekhā hai mai-ḳhāne meñ
be-hijab aa ai pari-ru mere kashane mein
juz tere dard ke koi nahin gham-KHane mein
'aks-e-ruKHsar tera dekh ke paimane mein
ho gaya hashr bapa raat ko mai-KHane mein
kufr-o-iman ka kisi ko bhi na hosh raha
kitni lazzat hai tere husn ke afsane mein
likh diya kis ne KHarabaat ke darwaze par
be-wuzu koi na aae kabhi mai-KHane mein
ek tawaf-e-ruKH-e-sham' hi kiya tha sab ne
phir sahar tak na rahi jaan kisi parwane mein
bai'at-e-pir-e-mughan kar ke 'alimullah' safi
main ne be-parda use dekha hai mai-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.