nigah-e-mast se ye kya pila diya tu ne
nigāh-e-mast se ye kyā pilā diyā tū ne
ragoñ meñ shor-e-anal-haq uThā diyā tū ne
maiñ ḳhush huuñ tere sivā koī aarzū na rahī
vo ġham diyā ki har ik ġham bhulā diyā tū ne
yaqīn aa.e kise maiñ to ḳhud bhī hairāñ huuñ
laboñ se kah na sakūñ jo dikhā diyā tū ne
hai soz-e-jāñ se hī takmīl-e-ādmī mumkin
vo dard baḳhshā ke insāñ banā diyā tū ne
shab-e-hayāt meñ do-gām chalnā mushkil thā
qadam qadam pe mujhe aasrā diyā tū ne
kabhī-kabhī to ye mahsūs hone lagtā hai
hijāb-e-jism hī jaise uThā diyā tū ne
na jaane kaun yahāñ aag lene aa.egā
maiñ jab bhī bujhne lagā huuñ jalā diyā tū ne
tere hī husn kī tasvīr hai har ik sūrat
butoñ ke parde meñ kāfir banā diyā tū ne
maiñ soz-e-'ishq meñ shādāb huuñ 'alīmullāh'
hazār shukr ki jiinā sikhā diyā tū ne
nigah-e-mast se ye kya pila diya tu ne
ragon mein shor-e-anal-haq uTha diya tu ne
main KHush hun tere siwa koi aarzu na rahi
wo gham diya ki har ek gham bhula diya tu ne
yaqin aae kise main to KHud bhi hairan hun
labon se kah na sakun jo dikha diya tu ne
hai soz-e-jaan se hi takmil-e-admi mumkin
wo dard baKHsha ke insan bana diya tu ne
shab-e-hayat mein do-gam chalna mushkil tha
qadam qadam pe mujhe aasra diya tu ne
kabhi-kabhi to ye mahsus hone lagta hai
hijab-e-jism hi jaise uTha diya tu ne
na jaane kaun yahan aag lene aaega
main jab bhi bujhne laga hun jala diya tu ne
tere hi husn ki taswir hai har ek surat
buton ke parde mein kafir bana diya tu ne
main soz-e-'ishq mein shadab hun 'alimullah'
hazar shukr ki jina sikha diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.