Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allah allah wo jamal-e-dil-fareb

Zaheen Shah Taji

allah allah wo jamal-e-dil-fareb

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    allāh allāh vo jamāl-e-dil-fareb

    mahfil-e-kaunain hai mahfil-e-fareb

    ḳhud-farebī hai ġham-e-maut-o-hayāt

    ab vo dariyā ho ki ho sāhil fareb

    maiñ jahāñ bhī huuñ vahīñ manzil bhī hai

    varna har jaada har ek manzil fareb

    qais par bhī ye haqīqat khul ga.ī

    ḳhud hai lailā mahmil-o-mahmil-fareb

    ishq mushkil hai na ishq āsān hai

    ishq meñ āsāni-o-mushkil fareb

    iztirāb-e-ishq meñ gum haiñ jihāt

    imteyāz-e-bismil-o-qatil fareb

    haq to ye hai be mohabbat zindagī

    ḳhud fareb-e-bātil-o-batil fareb

    har tamannā ishq meñ harf-e-ġhalat

    āshiqī meñ mānī-e-hāsil fareb

    ye ḳhudā.ī bandagī meñ ai 'zhīn'

    ye fareb-e-kāmil-o-kāmil fareb

    allah allah wo jamal-e-dil-fareb

    mahfil-e-kaunain hai mahfil-e-fareb

    KHud-farebi hai gham-e-maut-o-hayat

    ab wo dariya ho ki ho sahil fareb

    main jahan bhi hun wahin manzil bhi hai

    warna har jada har ek manzil fareb

    qais par bhi ye haqiqat khul gai

    KHud hai laila mahmil-o-mahmil-fareb

    ishq mushkil hai na ishq aasan hai

    ishq mein aasani-o-mushkil fareb

    iztirab-e-ishq mein gum hain jihat

    imteyaz-e-bismil-o-qatil fareb

    haq to ye hai be mohabbat zindagi

    KHud fareb-e-baatil-o-batil fareb

    har tamanna ishq mein harf-e-ghalat

    aashiqi mein mani-e-hasil fareb

    ye KHudai bandagi mein ai 'zhin'

    ye fareb-e-kaamil-o-kaamil fareb

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 58)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now