aasman hoga sahar ke nur se aaina-posh
āsmāñ hogā sahar ke nuur se ā.īna-posh
aur zulmat-e-rāt kī sīmāb-pā ho jā.egī
is qadar hogī tarannum āfrīñ bād-e-bahār
nighat-e-kHvābīda ġhunche kī navā ho jā.egī
aa mileñge sīna-e-chākān-e-chaman se sīna-chāk
bazm-e-gul kī ham-nafas bād-e-sabā ho jā.egī
shabnam-afshānī mirī paidā karegī soz-o-sāz
us chaman kī har kalī dard-āshnā ho jā.egī
dekh loge satvat-e-raftār-e-dariyā kā ma.aal
mauj-e-muztar hī use zanjīr-e-pā ho jā.egī
phir diloñ ko yaad aa jā.egā paiġhām-e-sujūd
phir jabīñ ḳhāk-e-haram se āshnā ho jā.egī
nāla-e-sayyād se hoñge navā sāmān-e-tuyūr
ḳhūn-e-gulchīñ se kalī rañgīñ qabā ho jā.egī
aañkh jo kuchh dekhtī hai lab pe aa saktā nahīñ
mahv-e-hairat huuñ ki duniyā kyā se kyā ho jā.egī
shab gurezāñ hogī āḳhir jalva-e-kHurshīd se
ye chaman ma.amūr hogā naġhma-e-tauhīd se
aasman hoga sahar ke nur se aaina-posh
aur zulmat-e-raat ki simab-pa ho jaegi
is qadar hogi tarannum aafrin baad-e-bahaar
nighat-e-kHwabida ghunche ki nawa ho jaegi
aa milenge sina-e-chaakan-e-chaman se sina-chaak
bazm-e-gul ki ham-nafas baad-e-saba ho jaegi
shabnam-afshani meri paida karegi soz-o-saz
us chaman ki har kali dard-ashna ho jaegi
dekh loge satwat-e-raftar-e-dariya ka maal
mauj-e-muztar hi use zanjir-e-pa ho jaegi
phir dilon ko yaad aa jaega paigham-e-sujud
phir jabin KHak-e-haram se aashna ho jaegi
nala-e-sayyaad se honge nawa saman-e-tuyur
KHun-e-gulchin se kali rangin qaba ho jaegi
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin
mahw-e-hairat hun ki duniya kya se kya ho jaegi
shab gurezan hogi aaKHir jalwa-e-kHurshid se
ye chaman mamur hoga naghma-e-tauhid se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.