Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jin ke hangamon se the aabaad virane kabhi

Allama Iqbal

jin ke hangamon se the aabaad virane kabhi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    jin ke hañgāmoñ se the ābād vīrāne kabhī

    shahar un ke miT ga.e ābādiyāñ ban ho ga.iiñ

    satvat-e-tauhīd qaa.em jin namāzoñ se huī

    vo namāzeñ hind meñ nazr-e-barahman ho ga.iiñ

    dahr meñ aish-o-dvām aa.iin pābandī se hai

    mauj ko āzādiyāñ sāmān-e-shevan ho ga.iiñ

    ḳhud tajallī ko tamannā jin nazāroñ thī

    vo nigāheñ nā-ummīd-e-nūr-e-aiman ho ga.iiñ

    vus.at-e-gardūñ meñ thī un taḌap nazāra-soz

    bijliyāñ āsūda-e-dāmān-e-kHirman ho ga.iiñ

    dīda-e-kHū banā raho minnat-kash-e-gulzār kyuuñ

    ashk-e-paiham se nigāheñ gul-ba-dāman ho ga.iiñ

    jin ke hangamon se the aabaad virane kabhi

    shahar un ke miT gae aabaadiyan ban ho gain

    satwat-e-tauhid qaem jin namazon se hui

    wo namazen hind mein nazr-e-barahman ho gain

    dahr mein aish-o-dwam aain ki pabandi se hai

    mauj ko aazadiyan saman-e-shewan ho gain

    KHud tajalli ko tamanna jin nazaron ki thi

    wo nigahen na-ummid-e-nur-e-aiman ho gain

    wusat-e-gardun mein thi un ki taDap nazara-soz

    bijliyan aasuda-e-daman-e-kHirman ho gain

    dida-e-kHu bana raho minnat-kash-e-gulzar kyun

    ashk-e-paiham se nigahen gul-ba-daman ho gain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now