jinhen main DhunDhta tha aasmanon mein zaminon mein
jinheñ maiñ DhūñDhtā thā āsmānoñ meñ zamīnoñ meñ
vo nikle mere zulmat-ḳhāna-e-dil ke makīnoñ meñ
haqīqat apnī āñkhoñ par numāyāñ jab huī apnī
makāñ niklā hamāre ḳhāna-e-dil ke makīnoñ meñ
agar kuchh āshnā hotā mazāq-e-jab.ha-sā.ī se
to sañg-e-āstāñ ka.aba jā miltā jabīnoñ meñ
kabhī apnā bhī nazāra kiyā hai tū ne ai majnūñ
ki laila kī tarah tū ḳhud bhī hai mahmil nashīnoñ meñ
mahīne vasl ke ghaḌiyoñ kī sūrat uḌte jaate haiñ
magar ghaḌiyāñ judā.ī kī guzartī haiñ mahīnoñ meñ
mujhe rokegā tū ai nāḳhudā kyā ġharq hone se
ki jin ko Dūbnā ho Duub jaate haiñ safīnoñ meñ
chhupāyā husn ko apne kalīmullāh se jis ne
vahī nāz-āfrīñ hai jalva-pairā nāznīnoñ meñ
jalā saktī hai sham'-e-kushta ko mauj-e-nafas un kī
ilāhī kyā chhupā hotā hai ahl-e-dil ke sīnoñ meñ
tamannā dard-e-dil kī ho to kar ḳhidmat faqīroñ kī
nahīñ miltā ye gauhar bādshāhoñ ke ḳhazīnoñ meñ
na pūchh un ḳhirqa-poshoñ kī irādat ho to dekh un ko
yad-e-baizā liye baiThe haiñ apnī āstīnoñ meñ
tarastī hai nigāh-e-nā-rasā jis ke nazāre ko
vo raunaq anjuman kī hai unhīñ ḳhalvat-guzīnoñ meñ
kisī aise sharar se phūñk apne ḳhirman-e-dil ko
ki kHurshīd-e-qiyāmat bhī ho tere ḳhosha-chīnoñ meñ
mohabbat ke liye dil DhūñD koī TūTne vaalā
ye vo mai hai jise rakhte haiñ nāzuk ābgīnoñ meñ
sarāpā husn ban jaatā hai jis ke husn kā āshiq
bhalā ai dil hasīñ aisā bhī hai koī hasīnoñ meñ
phaḌak uThā koī terī adā-e-mā-arfnā par
tirā rutba rahā baḌh chaḌh ke sab nāz-āfrīnoñ meñ
numāyāñ ho ke dikhlā de kabhī un ko jamāl apnā
bahut muddat se charche haiñ tire bārīk bīnoñ meñ
ḳhamosh ai dil bharī mahfil meñ chillānā nahīñ achchhā
adab pahlā qarīna hai mohabbat ke qarīnoñ meñ
burā samjhūñ unheñ mujh se to aisā ho nahīñ saktā
ki maiñ ḳhud bhī to huuñ 'iqbāl' apne nukta-chīnoñ meñ
jinhen main DhunDhta tha aasmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-KHana-e-dil ke makinon mein
haqiqat apni aankhon par numayan jab hui apni
makan nikla hamare KHana-e-dil ke makinon mein
agar kuchh aashna hota mazaq-e-jabha-sai se
to sang-e-astan kaba ja milta jabinon mein
kabhi apna bhi nazara kiya hai tu ne ai majnun
ki laila ki tarah tu KHud bhi hai mahmil nashinon mein
mahine wasl ke ghaDiyon ki surat uDte jate hain
magar ghaDiyan judai ki guzarti hain mahinon mein
mujhe rokega tu ai naKHuda kya gharq hone se
ki jin ko Dubna ho Dub jate hain safinon mein
chhupaya husn ko apne kalimullah se jis ne
wahi naz-afrin hai jalwa-paira nazninon mein
jala sakti hai sham'-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chhupa hota hai ahl-e-dil ke sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar KHidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar baadshahon ke KHazinon mein
na puchh un KHirqa-poshon ki iradat ho to dekh un ko
yad-e-baiza liye baiThe hain apni aastinon mein
tarasti hai nigah-e-na-rasa jis ke nazare ko
wo raunaq anjuman ki hai unhin KHalwat-guzinon mein
kisi aise sharar se phunk apne KHirman-e-dil ko
ki kHurshid-e-qiyamat bhi ho tere KHosha-chinon mein
mohabbat ke liye dil DhunD koi TuTne wala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein
sarapa husn ban jata hai jis ke husn ka aashiq
bhala ai dil hasin aisa bhi hai koi hasinon mein
phaDak uTha koi teri ada-e-ma-arfna par
tera rutba raha baDh chaDh ke sab naz-afrinon mein
numayan ho ke dikhla de kabhi un ko jamal apna
bahut muddat se charche hain tere barik binon mein
KHamosh ai dil bhari mahfil mein chillana nahin achchha
adab pahla qarina hai mohabbat ke qarinon mein
bura samjhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
ki main KHud bhi to hun 'iqbaal' apne nukta-chinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.