intiha-e-yas-o-hasrat ho gai
intihā-e-yās-o-hasrat ho ga.ī
zindagī sāmān-e-kulfat ho ga.ī
ab fareb-e-mehrbānī rā.egāñ
zindagī-bhar ko nasīhat ho ga.ī
ab umīd-e-chasm-e-ulfat be-mahal
nā-murādī vaj.h-e-’ibrat ho ga.ī
yaas kal tak jis se ham vāqif na the
aaj ummīdoñ kī ġhāyat ho ga.ī
be-kasī jis se kabhī begāna the
ab sharīk-e-ranj-o-rāhat ho ga.ī
vo ummīd-e-vasl jo dam-sāz thī
ḳhūbī-e-qismat se hasrat ho ga.ī
qissa-e-nā-kāmyābi kyā kahūñ
aah har koshish akārat ho ga.ī
ab ġham-e-furqat na armān-e-visāl
aas kyā TuuTī ki fursat ho ga.ī
'arz-e-hālat kar ke ḳhud hairān huuñ
kyā kahūñ kyūñ-kar ye jur.at ho ga.ī
kyā kareñ ahl-e-niyāz ab kyā kareñ
be-niyāzī us kī 'ādat ho ga.ī
kyā batā saktā huuñ kuchh dekhā bhī ho
parda uThnā thā ki hairat ho ga.ī
aaj tak armān baaqī haiñ to huuñ
shādmānī mil ke ruḳhsat ho ga.ī
kuchh to ai āzād hāl-e-dil batā
kuchh to kah āḳhir ye kyā gat ho ga.ī
intiha-e-yas-o-hasrat ho gai
zindagi saman-e-kulfat ho gai
ab fareb-e-mehrbani raegan
zindagi-bhar ko nasihat ho gai
ab umid-e-chasm-e-ulfat be-mahal
na-muradi wajh-e-’ibrat ho gai
yas kal tak jis se hum waqif na the
aaj ummidon ki ghayat ho gai
be-kasi jis se kabhi begana the
ab sharik-e-ranj-o-rahat ho gai
wo ummid-e-wasl jo dam-saz thi
KHubi-e-qismat se hasrat ho gai
qissa-e-na-kaamyabi kya kahun
aah har koshish akarat ho gai
ab gham-e-furqat na arman-e-visal
aas kya TuTi ki fursat ho gai
'arz-e-haalat kar ke KHud hairan hun
kya kahun kyun-kar ye jurat ho gai
kya karen ahl-e-niyaz ab kya karen
be-niyazi us ki 'adat ho gai
kya bata sakta hun kuchh dekha bhi ho
parda uThna tha ki hairat ho gai
aaj tak arman baqi hain to hun
shadmani mil ke ruKHsat ho gai
kuchh to ai aazad haal-e-dil bata
kuchh to kah aaKHir ye kya gat ho gai
- Book : Nairang-e-Khayaal (Eid Number) (Pg. 230)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.