ighmaz chalte waqt murawwat se dur tha
iġhmāz chalte vaqt muravvat se duur thā
ro-ro ke ham ko aur rulānā zarūr thā
dardā ki lab pe rāz-e-dil aayā nahīñ hunūz
charchā hamāre 'ishq kā nazdīk duur thā
jaanī na qadr rahmat-e-haq pārsā ne kuchh
Thahrā qusūr-vār gar be-qusūr thā
dardī kushān-e-bazm-e-muġhāñ kā na pūchh haal
ek-ek riñd nashsha-e-vahdat se chuur thā
ab bāryāb-e-anjuman-e-’ām bhī nahīñ
vo dil ki ḳhaas mahram-e-bazm-e-huzūr thā
roz-e-vidā' bhī shab-e-hijrāñ se kam na thā
kuchh sub.h hī se shaam balā kā zuhūr thā
'hālī' ko hijr meñ bhī jo dekhā to shādmāñ
thā hausla isī kā ki itnā sabūr thā
ighmaz chalte waqt murawwat se dur tha
ro-ro ke hum ko aur rulana zarur tha
darda ki lab pe raaz-e-dil aaya nahin hunuz
charcha hamare 'ishq ka nazdik dur tha
jaani na qadr rahmat-e-haq parsa ne kuchh
Thahra qusur-war gar be-qusur tha
dardi kushan-e-bazm-e-mughan ka na puchh haal
ek-ek rind nashsha-e-wahdat se chur tha
ab baryab-e-anjuman-e-’am bhi nahin
wo dil ki KHas mahram-e-bazm-e-huzur tha
roz-e-wida' bhi shab-e-hijran se kam na tha
kuchh subh hi se sham bala ka zuhur tha
'haali' ko hijr mein bhi jo dekha to shadman
tha hausla isi ka ki itna sabur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.