mohabbat ki shirin nawa ban gae tum
mohabbat kī shīrīñ navā ban ga.e tum
mirī ziist kā aasrā ban ga.e tum
nigāheñ gulābī adā.eñ sharābī
ze-sar tā-ba-pā mai-kada ban ga.e tum
mire sajda haaye junūñ ko na bhūlo
ki jin kī badaulat ḳhudā ban ga.e tum
tasavvur kī sham.eñ farozāñ haiñ ab tak
huā kyā agar be-vafā ban ga.e tum
mujhe Duub jaane do ai nā-ḳhudāo
ki ab nāḳhudā se ḳhudā ban ga.e tum
nazar bahkī bahkī shabāb umDā umDā
javānī se pūchho ki kyā ban ga.e tum
ghaTā ban ke 'altāf' rindoñ pe barse
gulistāñ meñ bād-e-sabā ban ga.e tum
mohabbat ki shirin nawa ban gae tum
meri zist ka aasra ban gae tum
nigahen gulabi adaen sharabi
ze-sar ta-ba-pa mai-kada ban gae tum
mere sajda haye junun ko na bhulo
ki jin ki badaulat KHuda ban gae tum
tasawwur ki shamen farozan hain ab tak
hua kya agar be-wafa ban gae tum
mujhe Dub jaane do ai na-KHudao
ki ab naKHuda se KHuda ban gae tum
nazar bahki bahki shabab umDa umDa
jawani se puchho ki kya ban gae tum
ghaTa ban ke 'altaf' rindon pe barse
gulistan mein baad-e-saba ban gae tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.