manzil hai pichhe aur chala ja raha hun main
manzil hai pīchhe aur chalā jā rahā huuñ maiñ
har gaam par fareb-e-havas khā rahā huuñ maiñ
ik husn-e-barq-pāsh idhar aur udhar sharāb
dānista talḳhiyoñ meñ ghirā jā rahā huuñ maiñ
manzil hai merī arsh kī manzil ke us taraf
us pastī-e-nigāh pe sharmā rahā huuñ maiñ
jām-e-sharāb haath meñ pahlū meñ āftāb
duniyā-e-kaif-o-nūr pe lahrā rahā huuñ maiñ
ye kis ne ġham kā rog atā kar diyā mujhe
siine meñ hasratoñ ko javāñ pā rahā huuñ meñ
kho gayā thā un kī nigāhoñ ke aas paas
nīñdoñ kī vādiyoñ se chalā aa rahā huuñ maiñ
'altāf' dāstān-e-mohabbat hai aur aañkh
ḳhāmosh hai zabān kahe jā rahā huuñ maiñ
manzil hai pichhe aur chala ja raha hun main
har gam par fareb-e-hawas kha raha hun main
ek husn-e-barq-pash idhar aur udhar sharab
danista talKHiyon mein ghira ja raha hun main
manzil hai meri arsh ki manzil ke us taraf
us pasti-e-nigah pe sharma raha hun main
jam-e-sharab hath mein pahlu mein aaftab
duniya-e-kaif-o-nur pe lahra raha hun main
ye kis ne gham ka rog ata kar diya mujhe
sine mein hasraton ko jawan pa raha hun mein
kho gaya tha un ki nigahon ke aas pas
nindon ki wadiyon se chala aa raha hun main
'altaf' dastan-e-mohabbat hai aur aankh
KHamosh hai zaban kahe ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.