ye bhari bazm ye ahbab kahan phir honge
ye bharī bazm ye ahbāb kahāñ phir hoñge
dil ke bahlāne ke asbāb kahāñ phir hoñge
nikhat-o-nūr meñ Duubī huī raato afsos
ye fusūñ-kāro hasīñ ḳhvāb kahāñ phir hoñge
tīra-baḳhtī mujhe āġhosh meñ legī baḌh kar
jalva-hā-e-rukH-e-mahtāb kahāñ phir hoñge
maiñ paḌā hūñgā kahīñ duur bayābānoñ meñ
mere sāthī mere ahbāb kahāñ phir hoñge
ek barbād javānī pe jo roye barsoñ
aah vo dīda-e-pur-āb kahāñ phir hoñge
maut ke sard dhuñdlakoñ meñ utar jā.uñgā
zindagānī ke ye asbāb kahāñ phir hoñge
ab mirī yaad meñ 'altāf' jo ḳhuuñ rote haiñ
mujh se milne ko vo be-tāb kahāñ phir hoñge
ye bhari bazm ye ahbab kahan phir honge
dil ke bahlane ke asbab kahan phir honge
nikhat-o-nur mein Dubi hui raato afsos
ye fusun-karo hasin KHwab kahan phir honge
tira-baKHti mujhe aaghosh mein legi baDh kar
jalwa-ha-e-rukH-e-mahtab kahan phir honge
main paDa hunga kahin dur bayabanon mein
mere sathi mere ahbab kahan phir honge
ek barbaad jawani pe jo roye barson
aah wo dida-e-pur-ab kahan phir honge
maut ke sard dhundlakon mein utar jaunga
zindagani ke ye asbab kahan phir honge
ab meri yaad mein 'altaf' jo KHun rote hain
mujh se milne ko wo be-tab kahan phir honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.