Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab tasawwur mein kisi ko samne lata hun main

Ameer Bakhsh Sabri

jab tasawwur mein kisi ko samne lata hun main

Ameer Bakhsh Sabri

MORE BYAmeer Bakhsh Sabri

    jab tasavvur meñ kisī ko sāmne laatā huuñ maiñ

    un ke jalvoñ farāvānī meñ kho jaatā huuñ maiñ

    dar-haqīqat rāz-dār-e-manzil-e-maqsūd huuñ

    dekhne ko har qadam par Thokareñ khātā huuñ maiñ

    mujh ko le aa.ī hai is manzil pe ab merī vafā

    un ke andāz-e-karam par bhī taḌap jaatā huuñ maiñ

    nāvak andāz-e-nazar un hai utnā dil-nashīñ

    tiir jo jaatā hai ḳhālī ḳhud uThā laatā huuñ maiñ

    un ke har tīr-e-nazar meñ hai bharā kaif-o-surūr

    zaḳhm-e-dil meñ kyā kahūñ kyā kyā mazā paatā huuñ maiñ

    ai ‘amīr’-e-sābarī rote haiñ qudsī 'arsh par

    jab kabhī afsāna-e-ulfat ko dohrātā huuñ maiñ

    jab tasawwur mein kisi ko samne lata hun main

    un ke jalwon ki farawani mein kho jata hun main

    dar-haqiqat raaz-dar-e-manzil-e-maqsud hun

    dekhne ko har qadam par Thokaren khata hun main

    mujh ko le aai hai is manzil pe ab meri wafa

    un ke andaz-e-karam par bhi taDap jata hun main

    nawak andaz-e-nazar un ka hai utna dil-nashin

    tir jo jata hai KHali KHud uTha lata hun main

    un ke har tir-e-nazar mein hai bhara kaif-o-surur

    zaKHm-e-dil mein kya kahun kya kya maza pata hun main

    ai ‘amir’-e-sabari rote hain qudsi 'arsh par

    jab kabhi afsana-e-ulfat ko dohraata hun main

    Source :
    • Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 56)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now