jab tasawwur mein kisi ko samne lata hun main
jab tasavvur meñ kisī ko sāmne laatā huuñ maiñ
un ke jalvoñ kī farāvānī meñ kho jaatā huuñ maiñ
dar-haqīqat rāz-dār-e-manzil-e-maqsūd huuñ
dekhne ko har qadam par Thokareñ khātā huuñ maiñ
mujh ko le aa.ī hai us manzil pe ab merī vafā
un ke andāz-e-karam par bhī taḌap jaatā huuñ maiñ
nāzuk andāz nazrāñ kā hai utnā dil-nashīñ
tiir jo jaatā hai ḳhālī ḳhud uThā laatā huuñ maiñ
un ke har tīr-e-nazar meñ hai bharā kaif-o-surūr
zaḳhm-e-dil maiñ kyā kahūñ kyā kyā mazā paatā huuñ maiñ
lūTtā huuñ hasratoñ kī mayyateñ dil meñ liye
kyā umiid le ke un kī bazm se maiñ jaatā huuñ maiñ
ai ‘amīr’-e-sābarī rote haiñ qudsī 'arsh par
jab kabhī afsāna-e-ulfat ko dohrātā huuñ maiñ
jab tasawwur mein kisi ko samne lata hun main
un ke jalwon ki farawani mein kho jata hun main
dar-haqiqat raaz-dar-e-manzil-e-maqsud hun
dekhne ko har qadam par Thokaren khata hun main
mujh ko le aai hai us manzil pe ab meri wafa
un ke andaz-e-karam par bhi taDap jata hun main
nazuk andaz nazran ka hai utna dil-nashin
tir jo jata hai KHali KHud uTha lata hun main
un ke har tir-e-nazar mein hai bhara kaif-o-surur
zaKHm-e-dil main kya kahun kya kya maza pata hun main
luTta hun hasraton ki mayyaten dil mein liye
kya umid le ke un ki bazm se main jata hun main
ai ‘amir’-e-sabari rote hain qudsi 'arsh par
jab kabhi afsana-e-ulfat ko dohraata hun main
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.