sambhal ai dil kisi ka raaz be-parda na ho jae
sambhal ai dil kisī kā raaz be-parda na ho jaa.e
ye dīvānoñ kī mahfil hai koī rusvā na ho jaa.e
vo shāyad is liye aate nahīñ gor-e-ġharībāñ par
kahīñ Thokar na lag jaa.e koī zinda na ho jaa.e
namāz-e-'ishq kā sajda adā karnā qayāmat hai
ye Dar hai ġhair ke aage kahīñ sajda na ho jaaye
'amīr'-e-sābarī jaanā sambhal kar kū-e-jānāñ meñ
mohabbat ik amānat hai alam-nashrah na ho jaa.e
sambhal ai dil kisi ka raaz be-parda na ho jae
ye diwanon ki mahfil hai koi ruswa na ho jae
wo shayad is liye aate nahin gor-e-ghariban par
kahin Thokar na lag jae koi zinda na ho jae
namaz-e-'ishq ka sajda ada karna qayamat hai
ye Dar hai ghair ke aage kahin sajda na ho jaye
'amir'-e-sabari jaana sambhal kar ku-e-jaanan mein
mohabbat ek amanat hai alam-nashrah na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.