kisi ki chah bhi dil mein mere ai naznin nikli
kisī kī chaah bhī dil meñ mire ai nāznīñ niklī
tire tīroñ ne ghar kī talāshī lī kahīñ niklī
tirī sūrat kuchh aisī kalk qudrat se hasīñ niklī
ki us kī har adā se shān-e-sūrat āfrīñ niklī
ilāhī qatl par mere vo itrāte haiñ kyuuñ itnā
badan se jaan niklī yā dahan se āfrīñ niklī
dil-e-majnūñ se niklī aah yā bijlī koī chamkī
ki mahmil se taḌap kar laila-e-mahmil-nashīñ niklī
sharīk-e-hāl-e-'āshiq be-kasī meñ kaun hotā hai
jo niklī bhī to kuchh dil-soz āh-e-ātishīñ niklī
tan-e-haijān ko zer-e-ḳhāk kiyā dhar-dhar ke piisā hai
sitam karne meñ ustād-o-āsmāñ kī bhī zamīñ niklī
na chhoḌā saath un kā merī turbat par bhī aane meñ
baḌī pāband apnī vaz' kī chīn-e-jabīñ niklī
junūñ ab tak sunā thā saath cholī aur dāman kā
garebāñ ko nikalte dekh kar kyuuñ āstīñ niklī
ġhash aayā vasl meñ mujh ko to bolī nāzukī us kī
ki lo mujh se bhī un kī nā-tavānī nāznīñ niklī
'amīr' ubhrā jo vo joban milā dil kā patā mujh ko
yahī dinoñ uchakke chor the chorī yahīñ niklī
kisi ki chah bhi dil mein mere ai naznin nikli
tere tiron ne ghar ki talashi li kahin nikli
teri surat kuchh aisi kalk qudrat se hasin nikli
ki us ki har ada se shan-e-surat aafrin nikli
ilahi qatl par mere wo itraate hain kyun itna
badan se jaan nikli ya dahan se aafrin nikli
dil-e-majnun se nikli aah ya bijli koi chamki
ki mahmil se taDap kar laila-e-mahmil-nashin nikli
sharik-e-haal-e-'ashiq be-kasi mein kaun hota hai
jo nikli bhi to kuchh dil-soz aah-e-atishin nikli
tan-e-haijaan ko zer-e-KHak kiya dhar-dhar ke pisa hai
sitam karne mein ustad-o-asman ki bhi zamin nikli
na chhoDa sath un ka meri turbat par bhi aane mein
baDi paband apni waz' ki chin-e-jabin nikli
junun ab tak suna tha sath choli aur daman ka
gareban ko nikalte dekh kar kyun aastin nikli
ghash aaya wasl mein mujh ko to boli nazuki us ki
ki lo mujh se bhi un ki na-tawani naznin nikli
'amir' ubhra jo wo joban mila dil ka pata mujh ko
yahi dinon uchakke chor the chori yahin nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.