kuchh Thikana hai na-tawani ka
kuchh Thikānā hai nā-tavānī kā
na uThā bojh zindagānī kā
daaġh dil meñ jo hai javānī kā
gul hai ye sham.a zindagānī kā
jāntā huuñ ki ḳhud-numā ho tum
parda kab tak ye lan-tarānī kā
aur ai pīr-e-charḳh kyā kosūñ
sabr tujh par mirī javānī kā
raah meñ vo mujhe mile to huā
sāmnā marg-e-nā-gahānī kā
halqa-e-chashm vaqt-e-naz.a nahīñ
hai ye chhallā tirī nishānī kā
josh-e-fasl-e-bahār meñ ai gul
rañg hai terī nau-javānī kā
naaz un ke bhī uTh nahīñ sakte
zor hai ab ye nā-tavānī kā
is taraf bhī nigāh-e-lutf kabhī
sadqa ai nau-javān javānī kā
marg jis ko jahāñ meñ kahte haiñ
naam hai merī zindagānī kā
misl-e-shabnam hamārī qismat meñ
ek daana hai vo bhī paanī kā
ruḳh tirā kis tarah maiñ dekh sakūñ
zulf hai laam lan-tarānī kā
chakkar aayā mujhe to ye samjhā
us ne chhallā diyā nishānī kā
chaudhvīñ kā bhī chāñd sadqe thā
haa.e a.alam tirī javānī kā
na uThā muflisī meñ dast-e-savāl
hai ye ehsān nā-tavānī kā
puurā puurā shabīh-e-yūsuf meñ
rañg hai terī nau-javānī kā
kyuuñ na piirī meñ dāġh-e-dil ho aziiz
phuul hai bāġh-e-nau-javānī kā
dil butoñ se uThā nahīñ saktā
shukr karatā huuñ nā-tavānī kā
muntazir hashr meñ hai dāman-e-tar
mahr-e-mahshar kī mehrbānī kā
rah gayā hai firāq meñ mujh ko
aasrā marg-e-nā-gahānī kā
dil to maiñ nazr kar chukā ai jaan
ab sabab kyā hai mehrbānī kā
ziist kā e'tibār kyā hai 'amīr'
aadmī bulbulā hai paanī kā
kuchh Thikana hai na-tawani ka
na uTha bojh zindagani ka
dagh dil mein jo hai jawani ka
gul hai ye shama zindagani ka
jaanta hun ki KHud-numa ho tum
parda kab tak ye lan-tarani ka
aur ai pir-e-charKH kya kosun
sabr tujh par meri jawani ka
rah mein wo mujhe mile to hua
samna marg-e-na-gahani ka
halqa-e-chashm waqt-e-naza nahin
hai ye chhalla teri nishani ka
josh-e-fasl-e-bahaar mein ai gul
rang hai teri nau-jawani ka
naz un ke bhi uTh nahin sakte
zor hai ab ye na-tawani ka
is taraf bhi nigah-e-lutf kabhi
sadqa ai nau-jawan jawani ka
marg jis ko jahan mein kahte hain
nam hai meri zindagani ka
misl-e-shabnam hamari qismat mein
ek dana hai wo bhi pani ka
ruKH tera kis tarah main dekh sakun
zulf hai lam lan-tarani ka
chakkar aaya mujhe to ye samjha
us ne chhalla diya nishani ka
chaudhwin ka bhi chand sadqe tha
hae aalam teri jawani ka
na uTha muflisi mein dast-e-sawal
hai ye ehsan na-tawani ka
pura pura shabih-e-yusuf mein
rang hai teri nau-jawani ka
kyun na piri mein dagh-e-dil ho aziz
phul hai bagh-e-nau-jawani ka
dil buton se uTha nahin sakta
shukr karata hun na-tawani ka
muntazir hashr mein hai daman-e-tar
mahr-e-mahshar ki mehrbani ka
rah gaya hai firaq mein mujh ko
aasra marg-e-na-gahani ka
dil to main nazr kar chuka ai jaan
ab sabab kya hai mehrbani ka
zist ka e'tibar kya hai 'amir'
aadmi bulbula hai pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.