dil mein KHayal un aankhon ka laya na jaega
dil meñ ḳhayāl un āñkhoñ kā laayā na jā.egā
mai-ḳhāna ghar ḳhudā kā banāyā na jā.egā
aahoñ se soz-e-ishq miTāyā na jā.egā
āñdhī se ye charāġh bujhāyā na jā.egā
ye tiira shām-e-ġham hai ki kahtā hai saaya bhī
ab mujh se paas aap ke aayā na jā.egā
gar haiñ yahī jafā.eñ to zālim jazā ke din
aaḌe mirī vafā se bhī aayā na jā.egā
kyuuñ yaas toḌtī hai mere dil kā aasrā
ye ghar ujaḌ gayā to basāyā na jā.egā
vahshat meñ thak ke mujh se ye ham-zād ne kahā
mujh se to saath aap ke aayā na jā.egā
chullū hī se pilā de mujhe sāqiyā sharāb
huuñ nā-tavān jaam uThāyā na jā.egā
dikhlā ke sab ko dast-e-hinā.ī vo kahte haiñ
āshiq kā ye lahū hai chhupāyā na jā.egā
ro.ungā dard-e-dil se kabhī maiñ jo baaġh meñ
phūloñ ko phir sabā se hañsāyā na jā.egā
dozaḳh ne mujh ko dekh ke mālik se ye kahā
mujh se to ye ġharīb jalāyā na jā.egā
sau ġham-gusār laakh hoñ ġham-ḳhvār ās-pās
dil meñ jo dard hai vo baTāyā na jā.egā
mujh rū-siyah ko qabr meñ rahne de ai karīm
ye muñh kisī ko mujh se dikhāyā na jā.egā
tere hazār ġhamze maiñ qātil uThā.ūñgā
ḳhanjar kā tere naaz uThāyā na jā.egā
dīdār-e-yār kā na uThegā maza 'amīr'
jab tak duī kā parda uThāyā na jā.egā
dil mein KHayal un aankhon ka laya na jaega
mai-KHana ghar KHuda ka banaya na jaega
aahon se soz-e-ishq miTaya na jaega
aandhi se ye charagh bujhaya na jaega
ye tera sham-e-gham hai ki kahta hai saya bhi
ab mujh se pas aap ke aaya na jaega
gar hain yahi jafaen to zalim jaza ke din
aaDe meri wafa se bhi aaya na jaega
kyun yas toDti hai mere dil ka aasra
ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega
wahshat mein thak ke mujh se ye ham-zad ne kaha
mujh se to sath aap ke aaya na jaega
chullu hi se pila de mujhe saqiya sharab
hun na-tawan jam uThaya na jaega
dikhla ke sab ko dast-e-hinai wo kahte hain
aashiq ka ye lahu hai chhupaya na jaega
rounga dard-e-dil se kabhi main jo bagh mein
phulon ko phir saba se hansaya na jaega
dozaKH ne mujh ko dekh ke malik se ye kaha
mujh se to ye gharib jalaya na jaega
sau gham-gusar lakh hon gham-KHwar aas-pas
dil mein jo dard hai wo baTaya na jaega
mujh ru-siyah ko qabr mein rahne de ai karim
ye munh kisi ko mujh se dikhaya na jaega
tere hazar ghamze main qatil uThaunga
KHanjar ka tere naz uThaya na jaega
didar-e-yar ka na uThega maza 'amir'
jab tak dui ka parda uThaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.