main kabhi waqt pe maqtal se na Tal jaunga
maiñ kabhī vaqt pe maqtal se na Tal jā.ūñgā
kuchh zamāna nahīñ karvaT jo badal jā.ūñgā
laakh duniyā meñ phañsūñ chaal vo chal jā.ūñgā
ki maiñ is bhūl-bhulayyāñ se nikal jā.ūñgā
ḳhabar aa.ī ki vo aatā hai 'iyādat ke liye
ab kuchh ummīd paḌī hai ki sambhal jā.ūñgā
sochtā hai mirī tap dekh ke furqat meñ tabīb
nabz ko haath lagā.ūñgā to jal jā.ūñgā
huuñ subuk-rūh karegā mujhe kyā qaid koī
misl-e-āvāz salāsil se nikal jā.ūñgā
mastī un āñkhoñ meñ aatī hai to kahtā hai hijāb
dekh tū aa.ī to maiñ ghar se nikal jā.ūñgā
bāġh-e-a.alam meñ huuñ goyā shajr-e-ātish-bāz
aur bhī phūlūñ phalūñgā jo maiñ jal jā.ūñgā
sāmne se jo vo sarkeñge to hogī ye taḌap
aks-e-ā.īna-sifat ghar se nikal jā.ūñgā
dekhne de mujhe ruḳhsār tirā harj hai kyā
do ghaḌī dekh ke phūloñ ko bahal jā.ūñgā
mar ke bhī dil se miTegā na hasīnoñ kā ḳhayāl
saath lekar maiñ yahī husn-e-amal jā.ūñgā
josh-e-vahshat meñ mujhe qaidi-e-zindāñ na kaaro
sail huuñ toḌ ke dīvār nikal jā.ūñgā
ātish-e-ishq mujhe ho ga.ī gulzār-e-ḳhalīl
dil meñ samjhā thā vo kāfir ki maiñ jal jā.ūñgā
qadr-dāñ 'mus.hafī'-o-hazrat-e-'saudā' the 'amīr'
le ke turbat pe unhīñ kī ye ġhazal jā.ūñgā
main kabhi waqt pe maqtal se na Tal jaunga
kuchh zamana nahin karwaT jo badal jaunga
lakh duniya mein phansun chaal wo chal jaunga
ki main is bhul-bhulayyan se nikal jaunga
KHabar aai ki wo aata hai 'iyaadat ke liye
ab kuchh ummid paDi hai ki sambhal jaunga
sochta hai meri tap dekh ke furqat mein tabib
nabz ko hath lagaunga to jal jaunga
hun subuk-ruh karega mujhe kya qaid koi
misl-e-awaz salasil se nikal jaunga
masti un aankhon mein aati hai to kahta hai hijab
dekh tu aai to main ghar se nikal jaunga
bagh-e-alam mein hun goya shajr-e-atish-baz
aur bhi phulun phalunga jo main jal jaunga
samne se jo wo sarkenge to hogi ye taDap
aks-e-aina-sifat ghar se nikal jaunga
dekhne de mujhe ruKHsar tera harj hai kya
do ghaDi dekh ke phulon ko bahal jaunga
mar ke bhi dil se miTega na hasinon ka KHayal
sath lekar main yahi husn-e-amal jaunga
josh-e-wahshat mein mujhe qaidi-e-zindan na karo
sail hun toD ke diwar nikal jaunga
aatish-e-ishq mujhe ho gai gulzar-e-KHalil
dil mein samjha tha wo kafir ki main jal jaunga
qadr-dan 'mushafi'-o-hazrat-e-'sauda' the 'amir'
le ke turbat pe unhin ki ye ghazal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.