har jam mein hai jalwa-e-mastana kisi ka
har jaam meñ hai jalva-e-mastāna kisī kā
mai-ḳhāna hamārā hai jilau-ḳhāna kisī kā
jis aañkh ko dekhā hai jilau-ḳhāna kisī kā
jis dil pe nazar kī vo hai kāshāna kisī kā
jab dekhte haiñ abr-e-siyah kahte haiñ ham mast
jaatā hai ye uḌtā huā mai-ḳhāna kisī kā
bū zulf kī laa.ī jo sabā maiñ ne ye jaanā
dil lene ko aayā hai ye bai.āna kisī kā
badlī hai ki mai-ḳhāna hai bijlī hai ki mai hai
ye ra.ad hai yā na.ara-e-mastāna kisī kā
le chal mujhe us qātil-e-a.alam kī galī meñ
kuchh kaam kar ai himmat-e-mardāna kisī kā
saaqī na dikhā bahr-e-ḳhudā sāġhar-e-ḳhālī
labrez huā jaatā hai paimāna kisī kā
ye husn ke bāzār meñ kyā TuuT paḌī hai
sau dete haiñ phirtā nahīñ bai.āna kisī kā
ai tāle'-e-bedār maiñ sotā huuñ ḳhabar-dār
pahlū se mere ho na judā shāna kisī kā
kyā tum se kahūñ dil kī ḳharābī kā maiñ ahvāl
barbād ho allāh ghar aisā na kisī kā
farhād pe kyā guzrī jo mujh par nahīñ guzrī
maiñ apne sivā kyuuñ kahūñ afsāna kisī kā
kuchh aur baḌhā detī hai us husn kī mastī
ye aarsī chhoTā sā hai paimāna kisī kā
āvāz-e-parī suur kī āvāz ko samjhā
mahshar meñ hai mast au bhī dīvāna kisī kā
nādān samajhte haiñ ki baḌ maar rahā hai
kyā jāniye kis dhun meñ hai dīvāna kisī kā
mastoñ meñ kisī ke dil-e-badmast ko DhūñDo
hogā unhīñ dīvānoñ meñ dīvāna kisī kā
hotī hai jagah ganj kī vīrāna hamesha
jo dil hai shikasta vo hai kāshāna kisī kā
niklā hai kisī sham.a-e-jahāñ soz kī dhun meñ
ḳhurshīd-e-qayāmat bhī hai parvāna kisī kā
kyūñkar na suneñ shauq se gul kaan lagā kar
murġhān-e-chaman kahte haiñ afsāna kisī kā
vo husn hai allāh kī qudrat kā tamāshā
rañg aur butoñ se hai judāgāna kisī kā
be-kār 'amīr' apne dil-o-dīda nahīñ haiñ
ā.īna kisī kā hai ye vo shāna kisī kā
har jam mein hai jalwa-e-mastana kisi ka
mai-KHana hamara hai jilau-KHana kisi ka
jis aankh ko dekha hai jilau-KHana kisi ka
jis dil pe nazar ki wo hai kashana kisi ka
jab dekhte hain abr-e-siyah kahte hain hum mast
jata hai ye uDta hua mai-KHana kisi ka
bu zulf ki lai jo saba main ne ye jaana
dil lene ko aaya hai ye baiana kisi ka
badli hai ki mai-KHana hai bijli hai ki mai hai
ye rad hai ya nara-e-mastana kisi ka
le chal mujhe us qatil-e-alam ki gali mein
kuchh kaam kar ai himmat-e-mardana kisi ka
saqi na dikha bahr-e-KHuda saghar-e-KHali
labrez hua jata hai paimana kisi ka
ye husn ke bazar mein kya TuT paDi hai
sau dete hain phirta nahin baiana kisi ka
ai tale'-e-bedar main sota hun KHabar-dar
pahlu se mere ho na juda shana kisi ka
kya tum se kahun dil ki KHarabi ka main ahwal
barbaad ho allah ghar aisa na kisi ka
farhad pe kya guzri jo mujh par nahin guzri
main apne siwa kyun kahun afsana kisi ka
kuchh aur baDha deti hai us husn ki masti
ye aarsi chhoTa sa hai paimana kisi ka
aawaz-e-pari sur ki aawaz ko samjha
mahshar mein hai mast au bhi diwana kisi ka
nadan samajhte hain ki baD mar raha hai
kya jaaniye kis dhun mein hai diwana kisi ka
maston mein kisi ke dil-e-badmast ko DhunDo
hoga unhin diwanon mein diwana kisi ka
hoti hai jagah ganj ki virana hamesha
jo dil hai shikasta wo hai kashana kisi ka
nikla hai kisi shama-e-jahan soz ki dhun mein
KHurshid-e-qayamat bhi hai parwana kisi ka
kyunkar na sunen shauq se gul kan laga kar
murghan-e-chaman kahte hain afsana kisi ka
wo husn hai allah ki qudrat ka tamasha
rang aur buton se hai judagana kisi ka
be-kar 'amir' apne dil-o-dida nahin hain
aaina kisi ka hai ye wo shana kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.