shauq KHalwat mein bhi hai anjuman-arai ka
shauq ḳhalvat meñ bhī hai anjuman-ārā.ī kā
ā.īna-ḳhāna hai gosha mirī tanhā.ī kā
paañv par tere jo sar hai tire shaidā.ī kā
bosa maqsūd hai parda hai jabīñ-sā.ī kā
paañv sahrā meñ Tikā kab tire saudā.ī kā
dil meñ laale ke rahā daaġh hī tanhā.ī kā
ḳhaak par ḳhuun jo Tapkā tire saudā.ī kā
daaġh uchhal kar vo huā lāla-e-sahrā.ī kā
ham tire husn ke bāzār se phir jaa.eñ kahāñ
tuur Thekā ho jo muusā se tamāshā.ī kā
be-sabātī-e-chaman hairat-e-nargis se khulī
mil gayā kaur se surma hameñ bīnā.ī kā
shafaq-e-shām nahīñ hai ye mere mātam meñ
muñh ko aayā hai kalejā shab-e-tanhā.ī kā
lā-makāñ par talab ahmad ko ḳhudā ne bhī kiyā
mutahammil ho bashar kyā ġham tanhā.ī kā
rū-safedī mujhe hāsil hai siyah-kārī meñ
maiñ bhī kyā ḳhat-e-amal huuñ kisī saudā.ī kā
shauq-e-dīdār meñ uThtī hai jo har vaqt nigāh
nā-tavāñ maiñ unheñ shub.ha hai tavānā.ī kā
dil-e-kuffār usī se kiye allāh ne ḳhalq
bach rahā kuchh jo añdherā shab-e-tanhā.ī kā
us ruḳh-e-sāf ko dekhūñ to baḌhī aur faroġh
surma ho gard-e-nazar aañkh kī bīnā.ī kā
Taal jaate haiñ mujhe dekh ke vo ḳhalq kahāñ
rañg hai muflis-o-mun.im kī shanāsā.ī kā
dast-e-gustāḳh se kar dāman-e-yūsuf ko na chaak
ai zuleḳhā hai ye kūcha tirī rusvā.ī kā
koī aatā nahīñ mujh tak jo ba-juz yād-e-ḳhudā
lā-makāñ gosha hai shāyad mirī tanhā.ī kā
teġh-e-mizhgāñ kā ġhazab haath lagāyā tum ne
kaT gayā haa.e nigah chashm-e-tamāshā.ī kā
ain sajde meñ muyassar hai nazāra us kā
chashm-e-bīnā hai ki daaġh apne jabīñ-sā.ī kā
sohbat-e-mardum-e-behis meñ bahaltā nahīñ dil
laakh tasvīreñ hoñ par rañj hai tanhā.ī kā
shauq se teġh lagāo mujhe lekin hai ye Dar
kHañda-e-zakHm DañDhorā na ho rusvā.ī kā
piyās us kī jo bujhegī to mai-e-kausar se
zarf aa.alī hai 'amīr' ahmad-e-mīnā.ī kā
shauq KHalwat mein bhi hai anjuman-arai ka
aaina-KHana hai gosha meri tanhai ka
panw par tere jo sar hai tere shaidai ka
bosa maqsud hai parda hai jabin-sai ka
panw sahra mein Tika kab tere saudai ka
dil mein lale ke raha dagh hi tanhai ka
KHak par KHun jo Tapka tere saudai ka
dagh uchhal kar wo hua lala-e-sahrai ka
hum tere husn ke bazar se phir jaen kahan
tur Theka ho jo musa se tamashai ka
be-sabaati-e-chaman hairat-e-nargis se khuli
mil gaya kaur se surma hamein binai ka
shafaq-e-sham nahin hai ye mere matam mein
munh ko aaya hai kaleja shab-e-tanhai ka
la-makan par talab ahmad ko KHuda ne bhi kiya
mutahammil ho bashar kya gham tanhai ka
ru-safedi mujhe hasil hai siyah-kari mein
main bhi kya KHat-e-amal hun kisi saudai ka
shauq-e-didar mein uThti hai jo har waqt nigah
na-tawan main unhen shubha hai tawanai ka
dil-e-kuffar usi se kiye allah ne KHalq
bach raha kuchh jo andhera shab-e-tanhai ka
us ruKH-e-saf ko dekhun to baDhi aur farogh
surma ho gard-e-nazar aankh ki binai ka
Tal jate hain mujhe dekh ke wo KHalq kahan
rang hai muflis-o-munim ki shanasai ka
dast-e-gustaKH se kar daman-e-yusuf ko na chaak
ai zuleKHa hai ye kucha teri ruswai ka
koi aata nahin mujh tak jo ba-juz yaad-e-KHuda
la-makan gosha hai shayad meri tanhai ka
tegh-e-mizhgan ka ghazab hath lagaya tum ne
kaT gaya hae nigah chashm-e-tamashai ka
ain sajde mein muyassar hai nazara us ka
chashm-e-bina hai ki dagh apne jabin-sai ka
sohbat-e-mardum-e-behis mein bahalta nahin dil
lakh taswiren hon par ranj hai tanhai ka
shauq se tegh lagao mujhe lekin hai ye Dar
kHanda-e-zakHm DanDhora na ho ruswai ka
piyas us ki jo bujhegi to mai-e-kausar se
zarf aaali hai 'amir' ahmad-e-minai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.