dagh dega tujhe ye shauq KHud-arai ka
daaġh degā tujhe ye shauq ḳhud-ārā.ī kā
dekh ā.īna hai dushman tirī yaktā.ī kā
jis ne dekhā hai tujhe dekhtī haiñ sab us ko
ḳhalq hai jam.a tamāshā hai tamāshā.ī kā
ā.īna dekh ke aa.e haiñ maze meñ aise
ḳhud vo muñh chūmte haiñ apne tamāshā.ī kā
rāstī qulzum-e-ulfat meñ rahī ham ko pasand
jab kahā qasd kiyā sher kī pīrā.ī kā
jaur phūloñ ke uThā jī na churā ai bulbul
ghar meñ sayyād ke hai mahkama gīrā.ī kā
tū bhī aa.e to na vo aañkh uThā kar dekhe
aur hī rañg hai ab tere tamāshā.ī kā
chīñḳh uThā lauT gayā tū ne uThā dī jo naqāb
aaj jī chhūT gayā tere tamāshā.ī kā
ai ajal jald ḳhabar le ki Darātā hai mujhe
dev ban ban ke añdherā shab-e-tanhā.ī kā
dil mirā siine meñ kyā ab to do-a.alam meñ nahīñ
chal diyā ban ke ḳhayāl us but-e-harjā.ī kā
tujh ko jalva-gah-e-nāz meñ rokā thāmā
hausla dekh liyā apne tamāshā.ī kā
phirtī hai hasrat-e-pā-bos do-a.alam meñ tabāh
ik jagah paañv Thahartā nahīñ harjā.ī kā
apne jalve ko vo ḳhud dekh ke kah uThte haiñ
vaah kyā aañkh hai kyā dil hai tamāshā.ī kā
dasht meñ laala hai gulzār meñ gul bazm meñ sham.a
har jagah rañg nayā hai mere harjā.ī kā
dauḌ kar barq-e-tajallī ne sambhālā us ko
laḌkhaḌāyā jo qadam tere tamāshā.ī kā
sar shab-o-roz jo vahshat se hai chakkar meñ 'amīr'
ye bhī shāyad hai qadam us but-e-harjā.ī kā
dagh dega tujhe ye shauq KHud-arai ka
dekh aaina hai dushman teri yaktai ka
jis ne dekha hai tujhe dekhti hain sab us ko
KHalq hai jama tamasha hai tamashai ka
aaina dekh ke aae hain maze mein aise
KHud wo munh chumte hain apne tamashai ka
rasti qulzum-e-ulfat mein rahi hum ko pasand
jab kaha qasd kiya sher ki pirai ka
jaur phulon ke uTha ji na chura ai bulbul
ghar mein sayyaad ke hai mahkama girai ka
tu bhi aae to na wo aankh uTha kar dekhe
aur hi rang hai ab tere tamashai ka
chinKH uTha lauT gaya tu ne uTha di jo naqab
aaj ji chhuT gaya tere tamashai ka
ai ajal jald KHabar le ki Daraata hai mujhe
dew ban ban ke andhera shab-e-tanhai ka
dil mera sine mein kya ab to do-alam mein nahin
chal diya ban ke KHayal us but-e-harjai ka
tujh ko jalwa-gah-e-naz mein roka thama
hausla dekh liya apne tamashai ka
phirti hai hasrat-e-pa-bos do-alam mein tabah
ek jagah panw Thaharta nahin harjai ka
apne jalwe ko wo KHud dekh ke kah uThte hain
wah kya aankh hai kya dil hai tamashai ka
dasht mein lala hai gulzar mein gul bazm mein shama
har jagah rang naya hai mere harjai ka
dauD kar barq-e-tajalli ne sambhaala us ko
laDkhaDaya jo qadam tere tamashai ka
sar shab-o-roz jo wahshat se hai chakkar mein 'amir'
ye bhi shayad hai qadam us but-e-harjai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.