tha dhyan mein naqsha jo teri jalwagari ka
thā dhyān meñ naqsha jo tirī jalvagarī kā
muñh pher liyā dekh ke ruḳh ham ne parī kā
āḳhir huuñ maiñ a.alam hai charāġh-e-saharī kā
lo jald ḳhabar vaqt nahīñ be-ḳhabarī kā
har sub.h ko ye shor hai murġh-e-saharī kā
chauñko ki zamāna na rahā be-ḳhabarī kā
vaqfa nahīñ ab bazm se hotā hai ye ruḳhsat
muñh dekh rahā huuñ maiñ charāġh-e-saharī kā
detā hai ḳhabar par ḳhabar ahbāb kā uThnā
parda nahīñ uThtā hai magar be-ḳhabarī kā
mastī meñ kahīñ dekh lī us maah kī raftār
bahkā huā paḌtā hai qadam kabk-e-darī kā
allāh kī qudrat kā tamāshā vo sanam hai
chehra hai agar huur kā joban hai parī kā
mai-ḳhāne meñ daur-e-mai-e-gul-rañg nahīñ hai
indar ke akhāḌe meñ ye hai raqs parī kā
yaad aatā hai gulzār meñ us gul kā vo sonā
aanā vo dabe paañv nasīm-e-saharī kā
Dar hai ye ḳhabar uḌ ke na sayyād ko pahuñche
achchhā nahīñ charchā mirī be-bāl-o-parī kā
kuchh roz abhī sabr kar ai panja-e-vahshat
be-mausam-e-gul lutf nahīñ jāma-darī kā
ahbāb dam-e-naz.a mujhe dekh rahe haiñ
muñh takte haiñ parvāne charāġh-e-saharī kā
ghabrā ke chale aa.e mere ghar vo amiir aaj
ehsān huā mujh par mirī be-ḳhabarī kā
tha dhyan mein naqsha jo teri jalwagari ka
munh pher liya dekh ke ruKH hum ne pari ka
aaKHir hun main aalam hai charagh-e-sahari ka
lo jald KHabar waqt nahin be-KHabari ka
har subh ko ye shor hai murgh-e-sahari ka
chaunko ki zamana na raha be-KHabari ka
waqfa nahin ab bazm se hota hai ye ruKHsat
munh dekh raha hun main charagh-e-sahari ka
deta hai KHabar par KHabar ahbab ka uThna
parda nahin uThta hai magar be-KHabari ka
masti mein kahin dekh li us mah ki raftar
bahka hua paDta hai qadam kabk-e-dari ka
allah ki qudrat ka tamasha wo sanam hai
chehra hai agar hur ka joban hai pari ka
mai-KHane mein daur-e-mai-e-gul-rang nahin hai
indar ke akhaDe mein ye hai raqs pari ka
yaad aata hai gulzar mein us gul ka wo sona
aana wo dabe panw nasim-e-sahari ka
Dar hai ye KHabar uD ke na sayyaad ko pahunche
achchha nahin charcha meri be-baal-o-pari ka
kuchh roz abhi sabr kar ai panja-e-wahshat
be-mausam-e-gul lutf nahin jama-dari ka
ahbab dam-e-naza mujhe dekh rahe hain
munh takte hain parwane charagh-e-sahari ka
ghabra ke chale aae mere ghar wo amir aaj
ehsan hua mujh par meri be-KHabari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.