partaw nahin kab us mein kisi KHush-jamal ka
partav nahīñ kab us meñ kisī ḳhush-jamāl kā
bazm-e-parī hai ā.īna apne ḳhayāl kā
har zarra āftāb se karatā hai hamsarī
allāh re daaġh tire pā.emāl kā
samjhe haiñ jis ko ahl-e-zamīñ charḳh-e-ābgūñ
ik shīsha hai mere araq-e-infi.āl kā
raushan diloñ kā aib bhī beshubha hai hunar
kyūñkar na baḌh ke badr ho nāḳhun hilāl kā
ai chashm-e-yār bhaag na mujh tīra-baḳht se
hamrāh hai ġhazāl ke saaya ġhazāl kā
tīr-e-nigah jab us kā chalā hai sū-e-falak
chilla uḌā diyā hai kamān-e-hilāl kā
kis zulf-e-mushk-fām kā aks us meñ paḌ gayā
a.alam hai aarsī meñ jo nāf-e-ġhazāl kā
hil hil ke aisī dāman-e-gesū ne dī havā
sho.ala bhaḌak gayā tire husn-o-jamāl kā
kyā kaam aa.egī tirī gardish phir ai falak
furqat kī shab se roz badal de visāl kā
mujh tak kab aa sakegī sipāh-e-sazā-e-jurm
dariyā hai biich meñ araq-e-infi.āl kā
ahmad jo the rahīm na thā saaya is liye
dil pis na jaa.e zer-e-qadam pā.emāl kā
shauq-e-javāb-e-ḳhat hai dam-e-naz.a bhī 'amīr'
huuñ muntazir maiñ qāsid-e-farḳhunda-fāl kā
partaw nahin kab us mein kisi KHush-jamal ka
bazm-e-pari hai aaina apne KHayal ka
har zarra aaftab se karata hai hamsari
allah re dagh tere paemal ka
samjhe hain jis ko ahl-e-zamin charKH-e-abgun
ek shisha hai mere araq-e-infial ka
raushan dilon ka aib bhi beshubha hai hunar
kyunkar na baDh ke badr ho naKHun hilal ka
ai chashm-e-yar bhag na mujh tira-baKHt se
hamrah hai ghazal ke saya ghazal ka
tir-e-nigah jab us ka chala hai su-e-falak
chilla uDa diya hai kaman-e-hilal ka
kis zulf-e-mushk-fam ka aks us mein paD gaya
aalam hai aarsi mein jo naf-e-ghazal ka
hil hil ke aisi daman-e-gesu ne di hawa
shoala bhaDak gaya tere husn-o-jamal ka
kya kaam aaegi teri gardish phir ai falak
furqat ki shab se roz badal de visal ka
mujh tak kab aa sakegi sipah-e-saza-e-jurm
dariya hai bich mein araq-e-infial ka
ahmad jo the rahim na tha saya is liye
dil pis na jae zer-e-qadam paemal ka
shauq-e-jawab-e-KHat hai dam-e-naza bhi 'amir'
hun muntazir main qasid-e-farKHunda-fal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.