gor mein tumne jo lashe ko utara hota
gor meñ tum ne jo lāshe ko utārā hotā
ai buto ḳhātima bil-ḳhair hamārā hotā
ruḳh-e-jānāñ kā muyassar jo nazārā hotā
mahr-e-tābāñ mirī qismat kā sitārā hotā
dekhte chehre ko apne agar ā.īne meñ
haal jo kuchh hai hamārā vo tumhārā hotā
dil ko us zulf kā lāzim thā tasavvur itnā
ki dhuāñ aah kā bhī ambar-e-sārā hotā
ham vo mai-kash haiñ ki hai apnī nigāhoñ meñ asar
sar ke bal dauḌte shīshe jo ishārā hotā
vā'da-e-qatl meñ manzūr thā aisā jo ḳhilāf
haath par haath na jallād ne maarā hotā
chāhī fir.aun ne muusā se madad chuuk gayā
ġharq hotā na agar tum ko pukārā hotā
kyā nigah bhī nahīñ uTh saktī thī ḳhanjar kī tarah
taak kar tum ne koī tiir hī maarā hotā
naza.a ke vaqt chhupā.ī thiiñ na tum ko palkeñ
Dūbte vaqt to tinke kā sahārā hotā
ḳhat mirā le ke kabūtar jo pahuñchā us tak
nasr-e-tā.ir mire tāle.a kā sitārā hotā
ġhair ke saath pilāte to na piitā maiñ sharāb
nañg kyūñkar ye mire dil ko gavārā hotā
bar-ḳhilāf aisī havā bāġh-e-jahāñ kī hai 'amīr'
phuul ko haath lagātā to sharārā hotā
gor mein tum ne jo lashe ko utara hota
ai buto KHatima bil-KHair hamara hota
ruKH-e-jaanan ka muyassar jo nazara hota
mahr-e-taban meri qismat ka sitara hota
dekhte chehre ko apne agar aaine mein
haal jo kuchh hai hamara wo tumhaara hota
dil ko us zulf ka lazim tha tasawwur itna
ki dhuan aah ka bhi ambar-e-sara hota
hum wo mai-kash hain ki hai apni nigahon mein asar
sar ke bal dauDte shishe jo ishaara hota
wa'da-e-qatl mein manzur tha aisa jo KHilaf
hath par hath na jallad ne mara hota
chahi firaun ne musa se madad chuk gaya
gharq hota na agar tum ko pukara hota
kya nigah bhi nahin uTh sakti thi KHanjar ki tarah
tak kar tum ne koi tir hi mara hota
naza ke waqt chhupai thin na tum ko palken
Dubte waqt to tinke ka sahaara hota
KHat mera le ke kabutar jo pahuncha us tak
nasr-e-tair mere talea ka sitara hota
ghair ke sath pilate to na pita main sharab
nang kyunkar ye mere dil ko gawara hota
bar-KHilaf aisi hawa bagh-e-jahan ki hai 'amir'
phul ko hath lagata to sharara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.