sach kah pasand kis ki hai ai KHub-ru pasand
sach kah pasand kis kī hai ai ḳhūb-rū pasand
tujh ko adū pasand hai mujh ko hai tu pasand
sab ko tirī pasand hai ai māh-rū pasand
a.alam pasand vo hai kare jis ko tū pasand
ḳhanjar dikhā ke kahte haiñ vo baat baat par
ham ko to is zabān se hai guftugū pasand
aao jo mere qatl ko itnā rahe lihāz
nāvik jigar pasand ho ḳhanjar gulū pasand
rahmat hī rahmat us kī hai kar le agar qubūl
merī namāz use hai na merā vuzū pasand
dekhūñ ki mere yaar ke kyūñ-kar nibāh ho
vo dushman aabrū kā hai maiñ aabrū pasand
zīnat ke vaqt bhī hai jo anjām kā ḳhayāl
miTTī ke itr kī hameñ aatī hai bū pasand
ehsāñ kisī kā kab hai gavārā ba-rañg-e-gul
hai chaak pairahan nahīñ lekin rafū pasand
zāhid nigāh-e-kam se kisī riñd ko na dekh
kyā jaane us karīm ko vo hai ki tū pasand
aa jaa.e jis pe dil hai vahī jaan se aziiz
yāqūb ko hai jāma-e-yousu kī bū pasand
khul kar kaho ki bosa-e-gesū na deñge ham
ye uljhī uljhī ham ko nahīñ guftugū pasand
bulbul nisār gul pe hai parvāna sham.a par
zarre ko mehr ham ko hai vo māh-rū pasand
paidā kiyā hai husn ne daulat kā ḳhāssa
vo kaun hai jahāñ meñ nahīñ jis ko tū pasand
sab āfatoñ se chhūT gayā kar ke tark-e-hirs
kyūñ-kar na ho mujhe dil-e-be-ārzū pasand
din-rāt zikr-e-shair-o-sukHan se hai kaam 'amīr'
bāteñ yahī pasand yahī guftugū pasand
sach kah pasand kis ki hai ai KHub-ru pasand
tujh ko adu pasand hai mujh ko hai tu pasand
sab ko teri pasand hai ai mah-ru pasand
aalam pasand wo hai kare jis ko tu pasand
KHanjar dikha ke kahte hain wo baat baat par
hum ko to is zaban se hai guftugu pasand
aao jo mere qatl ko itna rahe lihaz
nawik jigar pasand ho KHanjar gulu pasand
rahmat hi rahmat us ki hai kar le agar qubul
meri namaz use hai na mera wuzu pasand
dekhun ki mere yar ke kyun-kar nibah ho
wo dushman aabru ka hai main aabru pasand
zinat ke waqt bhi hai jo anjam ka KHayal
miTTi ke itr ki hamein aati hai bu pasand
ehsan kisi ka kab hai gawara ba-rang-e-gul
hai chaak pairahan nahin lekin rafu pasand
zahid nigah-e-kam se kisi rind ko na dekh
kya jaane us karim ko wo hai ki tu pasand
aa jae jis pe dil hai wahi jaan se aziz
yaqub ko hai jama-e-yousu ki bu pasand
khul kar kaho ki bosa-e-gesu na denge hum
ye uljhi uljhi hum ko nahin guftugu pasand
bulbul nisar gul pe hai parwana shama par
zarre ko mehr hum ko hai wo mah-ru pasand
paida kiya hai husn ne daulat ka KHassa
wo kaun hai jahan mein nahin jis ko tu pasand
sab aafaton se chhuT gaya kar ke tark-e-hirs
kyun-kar na ho mujhe dil-e-be-arzu pasand
din-raat zikr-e-shair-o-sukHan se hai kaam 'amir'
baaten yahi pasand yahi guftugu pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.