nahin mumkin rasai la-makan tak
nahīñ mumkin rasā.ī lā-makāñ tak
nishāñ kis tarah pahuñche be-nishāñ tak
tirī saffākiyāñ pahuñchīñ yahāñ tak
ki Dartī hai hayāt-e-jāvidāñ tak
karūñ zabt-e-nafas hamdam kahāñ tak
lagī hai aag ik dil se zabāñ tak
pahuñch jaa.e agar mujh saḳht-jāñ tak
to māñge maut marg-e-nā-gahāñ tak
maiñ huuñ vo nā-tavāñ jab aah khīñchī
to Thahrī sau jagah dil se zabāñ tak
kaḌī hai is qadar manzil adam kī
ki mar mar kar pahuñchte haiñ vahāñ tak
bahār āḳhir hai aur maiñ be-par-o-bāl
qafas se Daak baiThe āshiyāñ tak
maiñ huuñ is anjuman meñ sham-e-tasvīr
ki soz-e-dil nahīñ aatā zabāñ tak
hazāroñ hasratoñ kā ho gayā ḳhuuñ
kahāñ tak pās-e-rusvā.ī kahāñ tak
mirī vāmāñdgī kahtī hai mujh se
pahuñchnā ho chukā ab kārvāñ tak
ġhash aayā zāhid-o-masjid meñ be-mai
chalo lekar mujhe pīr-e-muġhāñ tak
tire qurbān ai betābī-e-dil
mujhe pahuñchā de us ke āstāñ tak
makān-e-yār tak qāsid na pahuñchā
ga.e kaise payambar lā-makāñ tak
bahut hī zor par hai vasl kā shauq
nazākat aaḌe aa.egī kahāñ tak
maiñ vo dil-soḳhta huuñ is chaman meñ
jale bijlī jo aa.e āshiyāñ tak
nahīñ kuchh teġh-e-qātil hī kashīda
ḳhafā hai mujh se marg-e-nā-gahāñ tak
na paa.ī gard nāloñ ne asar kī
zamīñ se ḳhaak chhānī āsmāñ tak
jo yuuñ aane na de us kī galī meñ
to pahuñchūñ ḳhvāb ban kar pāsbāñ tak
taḌapne se mere tañg aake bole
tasallī de koī tujh ko kahāñ tak
kahāñ ham ai 'amīr' ab aur kahāñ 'dāġh'
ye jalse ho chuke ḳhuld-āshiyāñ tak
nahin mumkin rasai la-makan tak
nishan kis tarah pahunche be-nishan tak
teri saffakiyan pahunchin yahan tak
ki Darti hai hayat-e-jawidan tak
karun zabt-e-nafas hamdam kahan tak
lagi hai aag ek dil se zaban tak
pahunch jae agar mujh saKHt-jaan tak
to mange maut marg-e-na-gahan tak
main hun wo na-tawan jab aah khinchi
to Thahri sau jagah dil se zaban tak
kaDi hai is qadar manzil adam ki
ki mar mar kar pahunchte hain wahan tak
bahaar aaKHir hai aur main be-par-o-baal
qafas se Dak baiThe aashiyan tak
main hun is anjuman mein sham-e-taswir
ki soz-e-dil nahin aata zaban tak
hazaron hasraton ka ho gaya KHun
kahan tak pas-e-ruswai kahan tak
meri wamandgi kahti hai mujh se
pahunchna ho chuka ab karwan tak
ghash aaya zahid-o-masjid mein be-mai
chalo lekar mujhe pir-e-mughan tak
tere qurban ai betabi-e-dil
mujhe pahuncha de us ke aastan tak
makan-e-yar tak qasid na pahuncha
gae kaise payambar la-makan tak
bahut hi zor par hai wasl ka shauq
nazakat aaDe aaegi kahan tak
main wo dil-soKHta hun is chaman mein
jale bijli jo aae aashiyan tak
nahin kuchh tegh-e-qatil hi kashida
KHafa hai mujh se marg-e-na-gahan tak
na pai gard nalon ne asar ki
zamin se KHak chhani aasman tak
jo yun aane na de us ki gali mein
to pahunchun KHwab ban kar pasban tak
taDapne se mere tang aake bole
tasalli de koi tujh ko kahan tak
kahan hum ai 'amir' ab aur kahan 'dagh'
ye jalse ho chuke KHuld-ashiyan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.