wah kya KHub par-o-baal nikale bulbul
vaah kyā ḳhuub par-o-bāl nikāle bulbul
uḌte hī paḌ ga.ī sayyād ke paale bulbul
bāġhbān rahm se vāqif nahīñ gulchīñ bedard
ek ham haiñ tire pahchānñe vaale bulbul
yahī ronā hai to phūloñ kā ḳhudā hāfiz hai
āñsuoñ se tire sab bhar ga.e thāle bulbul
na jalā tujh se qafas maiñ ne chaman phūñk diyā
dekh haiñ garm tire yā mere naale bulbul
phuul gulshan meñ na aa.e the ki sayyād aayā
dil ke armān kaho kyā ḳhaak nikāle bulbul
zab.h sayyād karegā tujhe kal hai ye ḳhabar
aaj jo kuchh ho sunānā vo sunā le bulbul
hañs rahā hai abhī sayyād nahīñ vāqif hai
chuTkiyāñ leñge jigar meñ tire naale bulbul
bāġhbāñ kā jo shab-o-roz jalānā hai yahī
āshiyāñ barq ko kar degī havāle bulbul
haath gulchīñ ke kiye baaġh meñ kāñToñ ne figār
ḳhuub hī phūTe tire dil ke bhī chhāle bulbul
phuul phūle hue baiThe haiñ chaman meñ tujh se
chahchahe karke zarā un ko manā le bulbul
tujh se hañste haiñ kabhī karte haiñ gulchīñ se mazāq
un guloñ ke haiñ kuchh andāz nirāle bulbul
dam ulaT jaa.e na sayyād kā sunte sunte
dard-añgez na kar aise tu naale bulbul
ik din aa.egī ḳhizāñ donoñ kī kaise ye 'amīr'
chaar din baaġh meñ be-par kī uḌā le bulbul
wah kya KHub par-o-baal nikale bulbul
uDte hi paD gai sayyaad ke pale bulbul
baghban rahm se waqif nahin gulchin bedard
ek hum hain tere pahchanne wale bulbul
yahi rona hai to phulon ka KHuda hafiz hai
aansuon se tere sab bhar gae thaale bulbul
na jala tujh se qafas main ne chaman phunk diya
dekh hain garm tere ya mere nale bulbul
phul gulshan mein na aae the ki sayyaad aaya
dil ke arman kaho kya KHak nikale bulbul
zabh sayyaad karega tujhe kal hai ye KHabar
aaj jo kuchh ho sunana wo suna le bulbul
hans raha hai abhi sayyaad nahin waqif hai
chuTkiyan lenge jigar mein tere nale bulbul
baghban ka jo shab-o-roz jalana hai yahi
aashiyan barq ko kar degi hawale bulbul
hath gulchin ke kiye bagh mein kanTon ne figar
KHub hi phuTe tere dil ke bhi chhaale bulbul
phul phule hue baiThe hain chaman mein tujh se
chahchahe karke zara un ko mana le bulbul
tujh se hanste hain kabhi karte hain gulchin se mazaq
un gulon ke hain kuchh andaz nirale bulbul
dam ulaT jae na sayyaad ka sunte sunte
dard-angez na kar aise tu nale bulbul
ek din aaegi KHizan donon ki kaise ye 'amir'
chaar din bagh mein be-par ki uDa le bulbul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.