jata to uske kuche mein hai bar bar dil
jaatā to us ke kūche meñ hai baar baar dil
khaa.e na choT yaas kī umīd-vār dil
dikhlā rahā hai sair mirā dāġh-dār dil
paayā ḳhizāñ se maiñ nai bāġh-o-bahār dil
is gul-badan ke ishq meñ hai dāġh-dār dil
kyā shoḳh rañg phūloñ kā pahne hai haar dil
tirchhī nazar nishāne pe paḌtī nahīñ kabhī
ai turk is adā se na hogā shikār dil
garm-e-ḳhirām-e-nāz ho tum ye to dekh lo
kis kā paḌā huā hai sar-e-rahguzār dil
bazm-e-visāl hai ki koī said-gāh hai
merā shikār tum ho tumhārā shikār dil
jis dam nikal chalā mere pahlū ko toḌ kar
royā lipaT ke tiir se be-iḳhtiyār dil
ThanDī haiñ us ke aage hasīnoñ kī garmiyāñ
putlā hai shoḳhiyoñ kā mirā be-qarār dil
kaam aa.egā zarūr kisī din huzūr ke
pahlū meñ apne rakhte haiñ ham honhār dil
bijlī jo koh-e-tūr par chamkī thī ek din
āshiq ke siine meñ hai isī kā sharār dil
ghar se nikal ke dekh to leñ ik nazar huzūr
laa.e haiñ peshkash ke liye jāñ-nisār dil
muusā ko barq-e-tūr kā jalva dikhā diyā
pahuñchā taḌap ke daur mirā be-qarār dil
dekhī vo chashm-e-mast to āñkheñ sī khul ga.iiñ
jab hosh uḌ ga.e to huā hoshiyār dil
īfā-e-ahd-e-vasl na īfā-e-ahd-e-qatl
kis baat kā tumhārī kare e'tibār dil
ushshāq kī kamī nahīñ ma.ashūq chāhiye
ho dil kā qadr-dān to sattar hazār dil
taskīn de tasavvur-e-jānāñ kise kise
be-tāb idhar hai jaan udhar be-qarār dil
aayā ḳhayāl kushta-e-sīmāb dekh kar
ye ḳhaak ho gayā hai koī be-qarār dil
aate haiñ fātihe ke liye roz dard-o-ġham
hai ārzū-e-murda kā goyā mazār dil
ḳhaak ārzū-e-vasl karūñ ab tak ai 'amīr'
ye bhī ḳhabar nahīñ kise karatā hai pyaar dil
jata to us ke kuche mein hai bar bar dil
khae na choT yas ki umid-war dil
dikhla raha hai sair mera dagh-dar dil
paya KHizan se main nai bagh-o-bahaar dil
is gul-badan ke ishq mein hai dagh-dar dil
kya shoKH rang phulon ka pahne hai haar dil
tirchhi nazar nishane pe paDti nahin kabhi
ai turk is ada se na hoga shikar dil
garm-e-KHiram-e-naz ho tum ye to dekh lo
kis ka paDa hua hai sar-e-rahguzar dil
bazm-e-visal hai ki koi said-gah hai
mera shikar tum ho tumhaara shikar dil
jis dam nikal chala mere pahlu ko toD kar
roya lipaT ke tir se be-iKHtiyar dil
ThanDi hain us ke aage hasinon ki garmiyan
putla hai shoKHiyon ka mera be-qarar dil
kaam aaega zarur kisi din huzur ke
pahlu mein apne rakhte hain hum honhaar dil
bijli jo koh-e-tur par chamki thi ek din
aashiq ke sine mein hai isi ka sharar dil
ghar se nikal ke dekh to len ek nazar huzur
lae hain peshkash ke liye jaan-nisar dil
musa ko barq-e-tur ka jalwa dikha diya
pahuncha taDap ke daur mera be-qarar dil
dekhi wo chashm-e-mast to aankhen si khul gain
jab hosh uD gae to hua hoshiyar dil
ifa-e-ahd-e-wasl na ifa-e-ahd-e-qatl
kis baat ka tumhaari kare e'tibar dil
ushshaq ki kami nahin mashuq chahiye
ho dil ka qadr-dan to sattar hazar dil
taskin de tasawwur-e-jaanan kise kise
be-tab idhar hai jaan udhar be-qarar dil
aaya KHayal kushta-e-simab dekh kar
ye KHak ho gaya hai koi be-qarar dil
aate hain fatihe ke liye roz dard-o-gham
hai aarzu-e-murda ka goya mazar dil
KHak aarzu-e-wasl karun ab tak ai 'amir'
ye bhi KHabar nahin kise karata hai pyar dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.