ye to main kyunkar kahun tere KHaridaron mein hun
ye to maiñ kyūñkar kahūñ tere ḳharīdāroñ meñ huuñ
tū sarāpā naaz hai maiñ nāz-bardāroñ meñ huuñ
vasl kaisā tere nādīda ḳharīdāroñ meñ huuñ
vaah re qismat ki is par bhī gunahgāroñ meñ huuñ
hashr meñ itnā kahūñgā us se maiñ mahrūm-e-vasl
pāk-dāman tū hai maiñ kyūñkar gunahgāroñ meñ huuñ
nā-tavānī se hai tāqat naaz uThāne kī kahāñ
kah sakūñ kyūñkar ki tere nāz-bardāroñ meñ huuñ
jaan par sadma jigar meñ dard dil kā haal zaar
ghar kā ghar bīmār kis kis ke parastāroñ meñ huuñ
haa.e re ġhaflat nahīñ hai aaj tak itnī ḳhabar
kaun hai matlūb maiñ kis ke talab-gāroñ meñ huuñ
vo karishme shān-e-rahmat ne dikhā.e roz-e-hashr
chīñḳh uThā har be-gunāh maiñ bhī gunah-gāroñ meñ huuñ
vo mujhe rotā hai maiñ rotā huuñ us kī jaan ko
dil mere mātam meñ maiñ dil ke azā-dāroñ meñ huuñ
sub.h se matlab na gul se kaam kyā jānūñ unheñ
maiñ tumhāre sīna-chākoñ meñ dil-afgāroñ meñ huuñ
dil jigar donoñ kī lāsheñ hijr meñ haiñ sāmne
maiñ kabhī is ke kabhī us ke azādāroñ meñ huuñ
maiñ kisī qālib meñ huuñ ḳhālī udāsī se nahīñ
rañg huuñ yā bū huuñ murjhā.e hue hāroñ meñ huuñ
chheḌ dekho merī mayyat par jo aa.e ye kahā
tum vafādāroñ meñ ho yā maiñ vafādāroñ meñ huuñ
zāhido kaafī hai itnī baat baḳhshish ke liye
us ko shauq-e-maġhfirat hai maiñ gunahgāroñ meñ huuñ
kis tarah fariyād karte haiñ batā do qā.eda
ai asīrān-e-qafas maiñ nau-giraftāroñ meñ huuñ
hāl-e-zār apnā dikhā kar dil ne us se yuuñ kahā
kyuuñ isī muñh par ye kahte the maiñ dil-dāroñ meñ huuñ
be-gunāhoñ meñ chalā zāhid jo us ko DhūñDne
maġhfirat bolī idhar aa maiñ gunahgāroñ meñ huuñ
ḳhaal kahtā hai dikhā kar yaar kā husn-e-malīh
maiñ bhī us sarkār ke adnā namak-ḳhvāroñ meñ huuñ
ūñche ūñche mujrmoñ kī hogī pursish hashr meñ
kaun pūchhegā mujhe maiñ kin gunah-gāroñ meñ huuñ
vaqt-e-ārā.ish pahan kar tauq bolā vo hasīn
ab vo āzādī kahāñ maiñ bhī giraftāroñ meñ huuñ
chāra-sāzī kis se chāheñ ab marīz-e-dard-o-ġham
kahte haiñ iisā ki maiñ bhī un ke bīmāroñ meñ huuñ
be-gunāhī kā to da.avā un ke aage kyā majāl
Darte Darte muñh se niklā maiñ gunahgāroñ meñ huuñ
pūchhtā huuñ vaj.h-e-āzādī to kahtā hai ye sarv
maiñ kisī ke qadd-e-mauzūñ kī giraftāroñ meñ huuñ
aa chukā thā rahm us ko sun ke merī be-kasī
dard-e-zālim bol uThā maiñ us ke ġham-ḳhvāroñ meñ huuñ
soz-e-furqat dard-e-dil zaḳhm-e-jigar nāsūr-e-chashm
kuchh na pūchho mubtalā maiñ kitne āzāroñ meñ huuñ
sharm-o-shoḳhī donoñ gāhak haiñ ilāhī kyā karūñ
ek jins-e-be-haqīqat do ḳharīdāroñ meñ hoñ
phuul maiñ phūloñ meñ huuñ kāñTā huuñ kāñToñ meñ 'amīr'
yaar maiñ yāroñ meñ huuñ ayyār ayāroñ meñ huuñ
ye to main kyunkar kahun tere KHaridaron mein hun
tu sarapa naz hai main naz-bardaron mein hun
wasl kaisa tere nadida KHaridaron mein hun
wah re qismat ki is par bhi gunahgaron mein hun
hashr mein itna kahunga us se main mahrum-e-wasl
pak-daman tu hai main kyunkar gunahgaron mein hun
na-tawani se hai taqat naz uThane ki kahan
kah sakun kyunkar ki tere naz-bardaron mein hun
jaan par sadma jigar mein dard dil ka haal zar
ghar ka ghar bimar kis kis ke parastaron mein hun
hae re ghaflat nahin hai aaj tak itni KHabar
kaun hai matlub main kis ke talab-garon mein hun
wo karishme shan-e-rahmat ne dikhae roz-e-hashr
chinKH uTha har be-gunah main bhi gunah-garon mein hun
wo mujhe rota hai main rota hun us ki jaan ko
dil mere matam mein main dil ke aza-daron mein hun
subh se matlab na gul se kaam kya jaanun unhen
main tumhaare sina-chaakon mein dil-afgaron mein hun
dil jigar donon ki lashen hijr mein hain samne
main kabhi is ke kabhi us ke azadaron mein hun
main kisi qalib mein hun KHali udasi se nahin
rang hun ya bu hun murjhae hue haaron mein hun
chheD dekho meri mayyat par jo aae ye kaha
tum wafadaron mein ho ya main wafadaron mein hun
zahido kafi hai itni baat baKHshish ke liye
us ko shauq-e-maghfirat hai main gunahgaron mein hun
kis tarah fariyaad karte hain bata do qaeda
ai asiran-e-qafas main nau-giraftaron mein hun
haal-e-zar apna dikha kar dil ne us se yun kaha
kyun isi munh par ye kahte the main dil-daron mein hun
be-gunahon mein chala zahid jo us ko DhunDne
maghfirat boli idhar aa main gunahgaron mein hun
KHal kahta hai dikha kar yar ka husn-e-malih
main bhi us sarkar ke adna namak-KHwaron mein hun
unche unche mujrmon ki hogi pursish hashr mein
kaun puchhega mujhe main kin gunah-garon mein hun
waqt-e-araish pahan kar tauq bola wo hasin
ab wo aazadi kahan main bhi giraftaron mein hun
chaara-sazi kis se chahen ab mariz-e-dard-o-gham
kahte hain isa ki main bhi un ke bimaron mein hun
be-gunahi ka to dawa un ke aage kya majal
Darte Darte munh se nikla main gunahgaron mein hun
puchhta hun wajh-e-azadi to kahta hai ye sarw
main kisi ke qadd-e-mauzun ki giraftaron mein hun
aa chuka tha rahm us ko sun ke meri be-kasi
dard-e-zalim bol uTha main us ke gham-KHwaron mein hun
soz-e-furqat dard-e-dil zaKHm-e-jigar nasur-e-chashm
kuchh na puchho mubtala main kitne aazaron mein hun
sharm-o-shoKHi donon gahak hain ilahi kya karun
ek jins-e-be-haqiqat do KHaridaron mein hon
phul main phulon mein hun kanTa hun kanTon mein 'amir'
yar main yaron mein hun ayyar ayaron mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.