gham nahin ji tan se nikla dil gaya
ġham nahīñ jī tan se niklā dil gayā
mil ga.e tum mujh ko sab kuchh mil gayā
bole vo siine pe mere rakh ke haath
kahiye ab to iztirāb-e-dil gayā
ai nigāh-e-yās terā ho burā
ghar talak rotā huā qātil gayā
teġh-e-qātil hai use bād-e-bahār
jab chalī vo ġhuncha-e-dil khil gayā
kūcha-e-gesū na haath aayā mujhe
kaale kosoñ saikḌoñ manzil gayā
miT gayā kājal kā til islāh meñ
mus.haf-e-āriz kā nuqta chhil gayā
āhanī dam par jahāñ bigḌe huzūr
lab hilā.e aap ne dil hil gayā
marhale tai kunj-e-uzlat meñ kiye
baiThe baiThe saiñkaḌoñ manzil gayā
barahman ko but mujhe tū ai sanam
jis ne jo māñgā ḳhudā se mil gayā
jam.a haiñ siine meñ paikāñ tiir ke
saiñkaḌoñ dil haiñ agar ik dil gayā
hal mere mushkil-kushā ne kī 'amīr'
le ke kaisī hī koī mushkil gayā
gham nahin ji tan se nikla dil gaya
mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gaya
bole wo sine pe mere rakh ke hath
kahiye ab to iztirab-e-dil gaya
ai nigah-e-yas tera ho bura
ghar talak rota hua qatil gaya
tegh-e-qatil hai use baad-e-bahaar
jab chali wo ghuncha-e-dil khil gaya
kucha-e-gesu na hath aaya mujhe
kale koson saikDon manzil gaya
miT gaya kajal ka til islah mein
mushaf-e-ariz ka nuqta chhil gaya
aahani dam par jahan bigDe huzur
lab hilae aap ne dil hil gaya
marhale tai kunj-e-uzlat mein kiye
baiThe baiThe sainkaDon manzil gaya
barahman ko but mujhe tu ai sanam
jis ne jo manga KHuda se mil gaya
jama hain sine mein paikan tir ke
sainkaDon dil hain agar ek dil gaya
hal mere mushkil-kusha ne ki 'amir'
le ke kaisi hi koi mushkil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.