is shan se hum aae teri jalwa-gah mein
is shaan se ham aa.e tirī jalva-gāh meñ
mash.al dikhā.ī barq-e-tajallī ne raah meñ
añdher kar rahī hai ye chashm-e-siyāh meñ
shoḳhī ko qaid kījiye nīchī nigāh meñ
kyā daḳhl jā sake koi is jalva-gāh meñ
ġhamza chhurī liye hue baiThā hai raah meñ
ḳhanjar kuchh is adā se khiñchā qatl-gāh meñ
lipTā liyā gale se tire ishtibāh meñ
tauba bhī kuchh bharose ke qābil hai zāhido
pahuñchī hai ham se TuuT ke ab ḳhānqāh meñ
vo dushmanī se dekhte haiñ dekhte to haiñ
maiñ shaad huuñ ki huuñ to kisī kī nigāh meñ
ham mast-e-mai bhī piite haiñ to kāñpte hue
tauba paḌī huī hai hamāre gunāh meñ
qālib meñ dil hai dil meñ hai vo qadr-dān-e-dil
yūsuf girā hai le ke zuleḳhā ko chaah meñ
uftādgī meñ bhī mujhe me.arāj hai nasīb
Thokar bhī khaa.ī hai to mohabbat kī raah meñ
phūñkā idhar adū ko udhar āsmān ko
do zālimoñ kī lī hai ḳhabar ek aah meñ
vo dekhte haiñ ḳhūn-e-tamannā jamā ke aañkh
mehñdī lagā.ī jaatī hai pā-e-nigāh meñ
ahl-e-nazar ko vus.at-e-imkāñ bahut hai tañg
gardūñ nahīñ girah hai ye tār-e-nigāh meñ
jab maiñ pukārtā huuñ to kahtā hai āftāb
kambaḳht gum huuñ maiñ tire roz-e-siyāh meñ
Dartā huuñ jazb-e-shaiḳh kā sun sun ke ġhulġhula
khich jaa.e duḳht-e-raz na kahīñ ḳhānqāh meñ
aañkh apnī fitna haaye qiyāmat pe kyā paḌī
jis ke ye fitne haiñ vo hai apnī nigāh meñ
dil meñ samad samad ho zabāñ par sanam sanam
husn-e-amal kī bhī ho jhalak kuchh gunāh meñ
betābiyāñ jo māñgeñ to denā na tū hameñ
ai sabr ab ham aa.e haiñ terī panāh meñ
uThtā nahīñ hai ab to qadam mujh ġharīb kā
manzil se kah do dauḌ ke le mujh ko raah meñ
qudrat ḳhudā kī hai ki mileñ ḳhaak meñ to ham
aur surma ghar kare tirī chashm-e-siyāh meñ
shā.ir ko mast kartī hai tārīf-e-sher 'amīr'
sau botaloñ kā nashsha hai is vaah vaah meñ
is shan se hum aae teri jalwa-gah mein
mashal dikhai barq-e-tajalli ne rah mein
andher kar rahi hai ye chashm-e-siyah mein
shoKHi ko qaid kijiye nichi nigah mein
kya daKHl ja sake koi is jalwa-gah mein
ghamza chhuri liye hue baiTha hai rah mein
KHanjar kuchh is ada se khincha qatl-gah mein
lipTa liya gale se tere ishtibah mein
tauba bhi kuchh bharose ke qabil hai zahido
pahunchi hai hum se TuT ke ab KHanqah mein
wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shad hun ki hun to kisi ki nigah mein
hum mast-e-mai bhi pite hain to kanpte hue
tauba paDi hui hai hamare gunah mein
qalib mein dil hai dil mein hai wo qadr-dan-e-dil
yusuf gira hai le ke zuleKHa ko chah mein
uftadgi mein bhi mujhe mearaj hai nasib
Thokar bhi khai hai to mohabbat ki rah mein
phunka idhar adu ko udhar aasman ko
do zalimon ki li hai KHabar ek aah mein
wo dekhte hain KHun-e-tamanna jama ke aankh
mehndi lagai jati hai pa-e-nigah mein
ahl-e-nazar ko wusat-e-imkan bahut hai tang
gardun nahin girah hai ye tar-e-nigah mein
jab main pukarta hun to kahta hai aaftab
kambaKHt gum hun main tere roz-e-siyah mein
Darta hun jazb-e-shaiKH ka sun sun ke ghulghula
khich jae duKHt-e-raz na kahin KHanqah mein
aankh apni fitna haye qiyamat pe kya paDi
jis ke ye fitne hain wo hai apni nigah mein
dil mein samad samad ho zaban par sanam sanam
husn-e-amal ki bhi ho jhalak kuchh gunah mein
betabiyan jo mangen to dena na tu hamein
ai sabr ab hum aae hain teri panah mein
uThta nahin hai ab to qadam mujh gharib ka
manzil se kah do dauD ke le mujh ko rah mein
qudrat KHuda ki hai ki milen KHak mein to hum
aur surma ghar kare teri chashm-e-siyah mein
shair ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir'
sau botalon ka nashsha hai is wah wah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.