dil jo kahta hai mujhe zabt ki taqat hi nahin
dil jo kahtā hai mujhe zabt kī tāqat hī nahīñ
zabt kahtā hai taḌapne kī ijāzat hī nahīñ
ġham se chhūTūñ to maiñ kuchh aish kā sāmān karūñ
itnī is ġham-kada-e-dahr meñ fursat hī nahīñ
ab kis ummīd pe ham yaar kā darbār kareñ
pesh-tar thī jo ināyat vo ināyat hī nahīñ
talab-e-jām abas karte ho muñh phoḌ ke tum
mai-kasho aañkh meñ saaqī kī muravvat hī nahīñ
dhuup ko os ko nā-haq hai takalluf aa.eñ
kaun rokegā unheñ ghar meñ mere chhat hī nahīñ
haath meñ shāna hai ā.īna hai zaanū pe mudām
un se ulfat hai tumheñ jin meñ mohabbat hī nahīñ
dil jo kahta hai mujhe zabt ki taqat hi nahin
zabt kahta hai taDapne ki ijazat hi nahin
gham se chhuTun to main kuchh aish ka saman karun
itni is gham-kada-e-dahr mein fursat hi nahin
ab kis ummid pe hum yar ka darbar karen
pesh-tar thi jo inayat wo inayat hi nahin
talab-e-jam abas karte ho munh phoD ke tum
mai-kasho aankh mein saqi ki murawwat hi nahin
dhup ko os ko na-haq hai takalluf aaen
kaun rokega unhen ghar mein mere chhat hi nahin
hath mein shana hai aaina hai zanu pe mudam
un se ulfat hai tumhein jin mein mohabbat hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.