misal-e-tar-e-nazar nazar mein nahin
misal-e-tār-e-nazar nazar meñ nahīñ
is tarah ghar meñ huuñ ki ghar meñ nahīñ
hosh tak rāh-e-be-kHudī meñ haiñ gum
koī sāthī mirā safar meñ nahīñ
varaq-e-gul ko le uḌī hai nasīm
ḳhat mirā dast-e-nāma-bar meñ nahīñ
dekh lī aaj aañkh us gul kī
ab to nargis bhī kuchh nazar meñ nahīñ
ijz bandoñ kā kyuuñ pasand na ho
ki yahī to ḳhudā ke ghar meñ nahīñ
kis ke sar māriye ye bār-e-safar
rāh-zan koī rahguzar meñ nahīñ
dekhiye to isī meñ hai sab kuchh
kaun kahtā hai kuchh bashar meñ nahīñ
is qadar bhar gayā hai dāġhoñ se
ki jagah dard kī jigar meñ nahīñ
dekh kar un ko sab ye kahte haiñ
kyā parī meñ hai jo bashar meñ nahīñ
saare a.alam ke daaġh bhar letā
kyā karūñ maiñ jagah jigar meñ nahīñ
qurb-e-mun.im meñ pech-o-tāb kahāñ
ki girah rishta-e-guhar meñ nahīñ
kaun le jaa.e naama qātil tak
ḳhauf se jaan nāma-bar meñ nahīñ
rāh-rav-e-rāh-e-ishq huuñ juz dard
koī to shah mirī kamar meñ nahīñ
ho sake ḳhaak mehmānī-e-ġham
ek qatra lahū jigar meñ nahīñ
kījiye tar zabān-e-nashtar ko
ḳhuun itnā bhī ab jigar meñ nahīñ
māñgnā ho jo maañg le us se
kaun sī shai ḳhudā ke ghar meñ nahīñ
rishta-e-kahkashāñ meñ bijlī hai
teġh us turk kī kamar meñ nahīñ
aish kā naam hī sunā hai 'amīr'
DhūñD maarā jahān-bhar meñ nahīñ
misal-e-tar-e-nazar nazar mein nahin
is tarah ghar mein hun ki ghar mein nahin
hosh tak rah-e-be-kHudi mein hain gum
koi sathi mera safar mein nahin
waraq-e-gul ko le uDi hai nasim
KHat mera dast-e-nama-bar mein nahin
dekh li aaj aankh us gul ki
ab to nargis bhi kuchh nazar mein nahin
ijz bandon ka kyun pasand na ho
ki yahi to KHuda ke ghar mein nahin
kis ke sar mariye ye bar-e-safar
rah-zan koi rahguzar mein nahin
dekhiye to isi mein hai sab kuchh
kaun kahta hai kuchh bashar mein nahin
is qadar bhar gaya hai daghon se
ki jagah dard ki jigar mein nahin
dekh kar un ko sab ye kahte hain
kya pari mein hai jo bashar mein nahin
sare aalam ke dagh bhar leta
kya karun main jagah jigar mein nahin
qurb-e-munim mein pech-o-tab kahan
ki girah rishta-e-guhar mein nahin
kaun le jae nama qatil tak
KHauf se jaan nama-bar mein nahin
rah-raw-e-rah-e-ishq hun juz dard
koi to shah meri kamar mein nahin
ho sake KHak mehmani-e-gham
ek qatra lahu jigar mein nahin
kijiye tar zaban-e-nashtar ko
KHun itna bhi ab jigar mein nahin
mangna ho jo mang le us se
kaun si shai KHuda ke ghar mein nahin
rishta-e-kahkashan mein bijli hai
tegh us turk ki kamar mein nahin
aish ka nam hi suna hai 'amir'
DhunD mara jahan-bhar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.