raushni nam ko bhi KHana-e-viran mein nahin
raushnī naam ko bhī ḳhāna-e-vīrāñ meñ nahīñ
haa.e bijlī kī chamak bhī shab-e-hijrāñ meñ nahīñ
mere pahlū meñ na dil hai na tirī muTThī meñ
phir huā kyā jo tirī zulf-e-pareshāñ meñ nahīñ
be-kasī dair se chillātī hai de kaun javāb
kah de ibrat hī koī gor-e-ġharībāñ meñ nahīñ
hai hayāt-e-abadī donoñ meñ lekin ḳhizr
āb-e-ḳhanjar kā maza chashma-e-haivāñ meñ nahīñ
ġhunche kahte haiñ ki kyā jald guzartī hai bahār
muskurā lene kī fursat bhī gulistāñ meñ nahīñ
baḌh ke bijlī se taḌap meñ sahī par kyā hāsil
shoḳhī-e-jumbish-e-mizhgāñ to rag-e-jāñ meñ nahīñ
apne mauqa.a pe har ik chiiz bhalī lagtī hai
kāñTe un phūloñ se achchhe jo garebāñ meñ nahīñ
paḌ gayā tafraqa aate ye ḳhizāñ ke aisā
rañg phūloñ meñ nahīñ phuul gulistāñ meñ nahīñ
qāzī-o-muhtasib-o-shaikH sab aa.e haiñ 'amīr'
ek tauba hai ki vo sohbat-e-rindāñ meñ nahīñ
raushni nam ko bhi KHana-e-viran mein nahin
hae bijli ki chamak bhi shab-e-hijran mein nahin
mere pahlu mein na dil hai na teri muTThi mein
phir hua kya jo teri zulf-e-pareshan mein nahin
be-kasi dair se chillati hai de kaun jawab
kah de ibrat hi koi gor-e-ghariban mein nahin
hai hayat-e-abadi donon mein lekin KHizr
aab-e-KHanjar ka maza chashma-e-haiwan mein nahin
ghunche kahte hain ki kya jald guzarti hai bahaar
muskura lene ki fursat bhi gulistan mein nahin
baDh ke bijli se taDap mein sahi par kya hasil
shoKHi-e-jumbish-e-mizhgan to rag-e-jaan mein nahin
apne mauqa pe har ek chiz bhali lagti hai
kanTe un phulon se achchhe jo gareban mein nahin
paD gaya tafraqa aate ye KHizan ke aisa
rang phulon mein nahin phul gulistan mein nahin
qazi-o-muhtasib-o-shaikH sab aae hain 'amir'
ek tauba hai ki wo sohbat-e-rindan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.