kaliyan ye surKH surKH nahin lala-zar mein
kaliyāñ ye surḳh surḳh nahīñ lāla-zār meñ
mehñdī lagī hai dast-e-urūs-e-bahār meñ
lūTeñge ab ke saal maze ham bahār meñ
mushk-o-namak bhareñge dil-e-dāġh-dār meñ
jo aabla hai apne dil dāġh-dār meñ
gumbad kisī shahīd kā hai lāla-zār meñ
is vāste ki ek hī ho merī us kī shakl
muñh dekhtā huuñ ā.īna-e-rū-e-yār meñ
ā.īna dekh dekh ke us ne banā.ī zulf
pahuñchī kumak halab se barābar tatār meñ
aane de aap meñ mujhe ik dam to be-ḳhudī
baiThe haiñ kab se log mere intizār meñ
gard-e-nigāh-e-yār se dil hai mirā tabāh
rahrav ko sūjhtī nahīñ manzil ġhubār meñ
jo shoḳh-tab.a haiñ vo jhapakte nahīñ kahīñ
bijlī kaTār khīñch ke aa.ī hazār meñ
kis parde meñ kudūrat-e-dil kā ishāra hai
likhā hai ḳhat bhī us ne to ḳhatt-e-ġhubār meñ
jaalī ke parde meñ ruḳh-e-gulgūñ nahīñ tirā
haiñ jāliyāñ naqāb-e-urūs-e-bahār meñ
kis gul kā sū-e-gor-e-garībāñ guzar huā
phūle nahīñ samāte haiñ murde mazār meñ
kyā be-sabāt-e-bāġh thā gul ho ga.e havā
jab tak karūñ maiñ chaak garebāñ bahār meñ
duniyā hī meñ jo baat nahīñ pūchhtā koī
roz-e-hisāb ā.eñge ham kis shumār meñ
jī loT hai taḌapne par ab tak magar 'amīr'
ab jaan hī nahīñ hai dil-e-be-qarār meñ
kaliyan ye surKH surKH nahin lala-zar mein
mehndi lagi hai dast-e-urus-e-bahaar mein
luTenge ab ke sal maze hum bahaar mein
mushk-o-namak bharenge dil-e-dagh-dar mein
jo aabla hai apne dil dagh-dar mein
gumbad kisi shahid ka hai lala-zar mein
is waste ki ek hi ho meri us ki shakl
munh dekhta hun aaina-e-ru-e-yar mein
aaina dekh dekh ke us ne banai zulf
pahunchi kumak halab se barabar tatar mein
aane de aap mein mujhe ek dam to be-KHudi
baiThe hain kab se log mere intizar mein
gard-e-nigah-e-yar se dil hai mera tabah
rahraw ko sujhti nahin manzil ghubar mein
jo shoKH-taba hain wo jhapakte nahin kahin
bijli kaTar khinch ke aai hazar mein
kis parde mein kudurat-e-dil ka ishaara hai
likha hai KHat bhi us ne to KHatt-e-ghubar mein
jali ke parde mein ruKH-e-gulgun nahin tera
hain jaliyan naqab-e-urus-e-bahaar mein
kis gul ka su-e-gor-e-gariban guzar hua
phule nahin samate hain murde mazar mein
kya be-sabaat-e-bagh tha gul ho gae hawa
jab tak karun main chaak gareban bahaar mein
duniya hi mein jo baat nahin puchhta koi
roz-e-hisab aaenge hum kis shumar mein
ji loT hai taDapne par ab tak magar 'amir'
ab jaan hi nahin hai dil-e-be-qarar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.