kahta hai kaun aah mein apni asar nahin
kahtā hai kaun aah meñ apnī asar nahīñ
haañ dil dukhe kisī kā ye madd-e-nazar nahīñ
āh-e-sharar-fashāñ meñ hamārī asar nahīñ
phūlā huā daraḳht hai lekin samar nahīñ
aise haiñ mast bāda-e-husn-o-jamāl se
merī ḳhabar kahāñ unheñ apnī ḳhabar nahīñ
ham be-qarār loTte haiñ kab se ḳhaak par
āsūdgān-e-ḳhāk tumheñ kuchh ḳhabar nahīñ
mahfil meñ sham.a baaġh meñ shabnam falak par abr
kis kī hai aañkh jo mere mātam meñ tar nahīñ
bosa jo sañg-e-dar ko diyā bol uThā vo shoḳh
bande kā hai makān ḳhudā kā ye ghar nahīñ
ghar jaane kā abhī se irāda na kījiye
ye mere dard-e-dil kī chamak hai sahar nahīñ
shaiḳh-e-haram haram meñ barahman hai dair meñ
ham kis jagah haiñ kuchh hameñ apnī ḳhabar nahīñ
afsurdagī vahī hai hamārī pas-e-fanā
sañg-e-mazār meñ bhī hamāre sharar nahīñ
duniyā hai turfa mai-kada-e-be-kHudī 'amīr'
sab mast haiñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ
kahta hai kaun aah mein apni asar nahin
han dil dukhe kisi ka ye madd-e-nazar nahin
aah-e-sharar-fashan mein hamari asar nahin
phula hua daraKHt hai lekin samar nahin
aise hain mast baada-e-husn-o-jamal se
meri KHabar kahan unhen apni KHabar nahin
hum be-qarar loTte hain kab se KHak par
aasudgan-e-KHak tumhein kuchh KHabar nahin
mahfil mein shama bagh mein shabnam falak par abr
kis ki hai aankh jo mere matam mein tar nahin
bosa jo sang-e-dar ko diya bol uTha wo shoKH
bande ka hai makan KHuda ka ye ghar nahin
ghar jaane ka abhi se irada na kijiye
ye mere dard-e-dil ki chamak hai sahar nahin
shaiKH-e-haram haram mein barahman hai dair mein
hum kis jagah hain kuchh hamein apni KHabar nahin
afsurdagi wahi hai hamari pas-e-fana
sang-e-mazar mein bhi hamare sharar nahin
duniya hai turfa mai-kada-e-be-kHudi 'amir'
sab mast hain kisi ko kisi ki KHabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.